Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey Mar 2020
Zikr jab zindagi ka hota hai toh hum aksar apni zindagi ke guzre waqt ke flashbacks mein chale jaate hai, aur kehte hai zindagi toh bohot buri guzar rahi hai.. yeh maana ki jo beet gaya hai usse bhulaya toh jaa sakta hai magar apne zehan se mitaya nahi jaa sakta.. bas unn tamaam ache-bure daur ko muqaddar samjhkar aage badha jaa sakta hai. Aur life mein ek phase aata jab humein lagta hai ab aur kya dekhne ko baaqi reh gaya hai zindagi mein saare tajurbe aur sabaq mil chuke hai ab toot jaane mein hi bhalayi hai haar jaana hi ek aakhri sahi rasta hai. Aur phir apni khushiyon ka shok aur barbaadiyon ka jashn manane lag jaate hai. Magar khushiyan bhi itni aasani haar nahi maanti. Zindagi humein har ache-bure daur ke baad ek khoobsurat tohfa deti hai jisse hum mauka kehte hai. Humein zindagi se mile wo saare tajurbe aur sabaq phir se jeene ka hausla dete hai. Ek nayi umeed dete hai. Aur shayad isliye hum zindagi ka saath nahi chhorte.
Beete kal mein pareshan rehte hai, aane kal ki fizool mein fikar rehti hai aur jo aaj hai usse jeete toh hai magar thodi bechaini ke saath. Jo guzar gaya usse accept karke aage badh jao, jo kal hoga wo tumhare aaj ki mehnat se pata chalega na ki fikar se, aur apne aaj se mohabbat karo.
Ek badi ajeeb si cheez hai jo hum sabhi ke saath hoti hai jab hum 5-6 saal purani tasveer mein khudko dekhte hai toh hasi aajati hai ki kaise the hum ab waqai behtar badlaav aaya hai hum mein wo badlaav tum laaye ** khud ke andar. Waqt ke saath mature hokar, mushkil se mushkil maqaam haasil karke, apna vision aur mindset positive rakhkar, apni zindagi ko sahi raaste mein le jaakar. Isliye tum haare nahi **, zindagi mauke deti hai magar tumhe ehsaas tak nahi hone degi kab tumne uss mauke ka fayda utha liya. Aur agar kabhi bura phase aaye toh uss mein bekhauf hokar jeena magar sahi waqt par nikalkar apni zindagi ko behtar bana dena. Kyunki abhi tumhara qissa khatam nahi huwa, abhi tumhe nikhar ke wapas aana hai kahani badalne.. .
Kitty Oct 2018
Kesi h y jindagi jha SB h bhi or koi b nhii ....
Ek ladki thii uljhii si...umeed.Lke Dil. m.dosti ki.....Pyaar Mila.pr dosti n mili na jaane wo logo m kisko dundhtii thiii.      Apne Dil m bhre emotions k dher ko lke  duniya bhtktii thiiii....Kya dundh rhi thi wo kch nya ya kch khoya huaa...


Dosti ki talash m pyaar k saare Nishan ko hta diyaa.....

Kya chahti thi wo....
Wo aajtk n samjh paayi kii.....Buri wo h ya bure log ya kch Orr


Jindgi bhr  usne jisko b apna Mana usne use kbhi n Mana
Shydd ....PTA nii


Kyo hua esaaa. ...Kisi k pass jawab n shyd uske pass b nhii....

.Ek ldki thii uljhii si thodi masum thodi natkhat si man m  Tha Sagar sa selaab ..pr logo ko boond b nhi milti thiii...
Mana khd thi wo insaan PR na jaane ki badlaav s drti thiii..
Roshni si chmk thi chahte p.pr na jaane ku Andhero s Tha pyaar
Pooja srivastava Aug 2020
Teen mahine pehle ek dastak hui,
603-604 asha appt mein hulchul hui,

Mein Corona hoon, sab mujhse darte hai...usne jataya..
Kuch darre hum, kuch sehme hum,
Phir usko bataya...
Saalo pehle BP aur Sugar aaye the,
Hum goli khaye, phir kheer pakori ka mazza uthaya...
Aur unko niptaaya....
Uff Caronao, humein daraona....

Kuch hum darre hai,
Ghar par baithe hai,
Sab jagah curfew hai,
Sadak par "few" hai,
Woh Corona Warriors hai...
Uff Coronao, humein daraona...

Kuch study ki, analysis kiya,
Immunity ko strong kiya,
Anlom-vilom par command kiya,
Saas aise powerful kiya,
Corona ne bhi social distancing kiya,
Uff Coronao, humein daraona....

Hummare pair mein bhi sanichar hai,
Ghar se nikalna humari fitrat hai,
Kuch na sahi corona hai,
Ussi ka discussion hai,
Uff coronao, humein daraona

Tum senior citizen na bano,
Youngster ki gali mein raho,
Hum party aur dinner ko tarse,
Tum pre-Corona bash manao,
Uff coronao, humein daraona

Maana badlaav mushkil hai,
Par safar toh karna hai,
Nokia namaskar se phone tak,
Soap se sanitizer tak,
College life se family life tak,
Ghoomne se ghar par thaherne tak,
Uff Corona, humein daraona...
This is for 2 brothers, both senior n retired, have diabetes, BP....n loves to venture out

— The End —