Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Gracy Patel Aug 16
Ek shanyashi, kailasash washi,
Sansar bulata tu bhole kalyankari,
Moh Maya se pare wo ganga dhari,
Netra bandh, shant suamya swaroop hari.

Ek Rajkumari pratibhashali,
Parvat raj ki putri thi wo Parvati,
Ati sundar wo kanya gunkari,
Maata pita ki raj dulari.

Purva janams wo anjan,
Bhul se bhatak *** ek van me ekaant,
Dekha shivling dhul me paryapt,
Chuke k mahsoos kiya koi purwa janam ka gyaan.

Anjani utejna ya hiriday me jaga prem,
Parvati bhuli sansar ka sneh,
Van me jake Kiya tapsya ka dheyey,
Chord ke Mahal dhundh ne chali man ka chen.
Par wo prem hi kya jisme na ** duvidha,
Shiv saa agori kaha samje, ye to he narayan ki leela,
Parvati bhi kaha thi piche hatne wali,
Sansar kehta wo agori or tu rajkumari,
Prem ki yahi to kahani,
Na me puri na wo Pura, phir bhi sansar ke sukhi Nar Naari.
Describe shiv parwati love journey through poem
Gracy Patel Jul 29
Nayi jagah thi, nayi silsile
Chord ke aaye the sare hum sare apne purana mele.
Pehli baat, mila hath,
Mene paya jese koi apna sath.
Din b din guzerte gaye,
Kal k anjan ab apne bangaye.
Per khusiya kaha rehti zyada din,
Risto me aaya tufan bhi.
Per kehte he wo dosti hi kya jo tik na sake,
Ha narazgi aayi thi dono taraf per itni bhi nahi ki dil mil na sake.
Me naraz, wo naraz,
Phir bhi jaha piche me chhut jati, teachers ki dictation me thodi dhil ** jati,
Wo pichese chup chap dekhti, aake nazdik jorse wahi dohrati,
Use pagal ko lagta me samaj nahi pati,
Kon bataye use, wo sunke mann mein me muskurati.
Per us din muje bhi kuch gehra samaj aaya,
Sachi dost bhale ** naraz, mene to phir bhi use apne pass paya
Friendship

— The End —