Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
 Apr 2020 LLZ
Dharmendra Kumar
Kehna hai tumse kuch
Bas kuch vakt mil jaye

Bas kuch din our ruk
Ki Tere karib aa Jaye

Vaade bahut kiye tumse
Khwayis hai mere Marne se pahle puri ** jaye

Yaad hai mujhe sab bas
Intzaar hai ki mujhe, Meri duniya mil jaye
 Apr 2020 LLZ
Dharmendra Kumar
aaja kahi Tere sath chale
ji bhar ke tujhko Pyaar  kare

Aise dekhu tujhe Kya baat kahe
Naina hi Pyaar ka izhaar Kare

Sochu tujhe , Aisha khwab rahe
Ki baaho me Teri , saari raat Jage

Aaja kahi Tere sath chale
Ji bhar ke tujhko pyaar kare

Bhige magar na barasat rahe
sanso ko mere ,tera ehasas rahe
 Apr 2020 LLZ
Dharmendra Kumar
Dur ** mujhase,
Baat nahi karte
Yaad nahi karte
Mujhe to isaki aadat hai
Is Dil ko tumse bahut shikayat hai

Kaye baar man kiya
Rok lu apne aap ko
Kya karu is dil ko
Tujhase hi chahat hai
Is Dil ko tumse bahut shikayat hai

Ankhe Tere tasbir pe roti hai
Khud ko dekh aayeene me,
Khud se puchati hai
Tere aane ki aahat hai
Is Dil ko tumse bahut shikayat hai
Pyarr shikayat
 Apr 2020 LLZ
Dharmendra Kumar
Vakt
 Apr 2020 LLZ
Dharmendra Kumar
Intzaar karte karte thak gaya
Use vakt laga aaneme
Ha mai vahi ruk gaya
Use vakt laga aane me
log last call pe recall karte rahe
Use vakt lag Gaya call uthane me
Subah saikado call dekh Kar msg aaya Kya baat hai,
Kisine jabab diya,
Vakt rahe to aa Jana janaje me
Ro ro ke thak gayee,
Mujhe sakhane me
Kya Fark padata, log busy the jalane me
Intzaar karte karte thak gaya
Use vakt laga aane me
 Apr 2020 LLZ
Dharmendra Kumar
Khwab
 Apr 2020 LLZ
Dharmendra Kumar
Kya manjar hai ki
Band sabhi bajar Raha,

Kab nikale apne Ghar se
Apna hi khwab Raha,

Naitikata ne bandh diya pairo ko
Jaise Sahar kabristan Raha

Naya subera kab niklega
Bas man ko yahi malal Raha

Kya manjar hai ki
Band sabhi bajar Raha
 Apr 2020 LLZ
Dharmendra Kumar
Ab Kar raham itna ki
Mujhe tu mil jaye

Bas sath tera ** chahe
Is **** se jaan alag ** jaye

Rusvat bhi manjoor hai mujhe
Ki mai raakh ** jau, tu bedag rah jaye

Tu yaad Kar ya na Kar
Mujhase kuch bhulaya na jaye

Ki dard Kya, jakhm Kya
Bas mujhe tu mil jaye
 Apr 2020 LLZ
Dharmendra Kumar
Kahna tum bhi chahti **
Kahna Mai bhi chahta hu
Bas un shbto ka juba pe aana Baki hai
Chalna tum bhi chahti **
Chalna Mai bhi chahta hu
Bas us dagar ka milna Baki hai
Bhigna tum bhi chahti **
Bhigna Mai bhi chahta hu
Bas badal ka garaj ke hampe barashna Baki hai
Dag tum pe bhi lagengye
Dag mujh pe bhi lagengye
Bas kuch logo ka hampe hasna Baki hai
Ruth Kai tum bhi baithi **
Ruth Kar Mai bhi baitha hu
Tera mujhko, Mera tujhko manana Baki hai

— The End —