Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Snigdha Banerjee Jul 2015
Iss eid pe tujh ko main kya bhejoon,
koi jugnuu,
koi taara,
koi sapnaa bhejoon ?

Koi phool bhejoon ad’khilaa se,
koi umeed,
koi aas,
koi nazaara bhejoon ?

Chaand bhejoon tujhe is eid pr
ik khushbuu,
ik rang ka istaara bhejoon ?

Aye mere dost !
roshni ki rang ki muskaan bhejoon ?
ya apni likhi koi shayari  bhejoon ?

Apni aankh ka koi moti teri nazar karoon,
Ya hathon se maangi koi dua bhejoon ?

Phoolon se koi titlii ki mohabbat bhejoon,
kisi bhanwre ki lagan,
us ka tarrana bhejoon !

Kisi shamma ka jalta hua daaman bhejoon,
Ya baarish ki hasti hui boondain bhejoon ?

Mere hathon main ik aas, umeed aur dua hai,
iss eid pe main tujh ko bass itna keh doon,

ke tum jo chaho
Woh sitaara mil jaye,


Tujh ko iss eid pe
Koi tumhara mil jaye..
Eid **___** !!!!!!

— The End —