jis shaks to tum dhoond rahe ** wo to hai mujhe na pata par ye naam to mera hi hai lekin is 'mera' ka 'main' to laapataa jab mujhme mai hi nahi hu to kise dhoond rahe ** tum? kahi aisa to nahi ki hum dono ek hi shaks to dhoond rahe hai? khair tum to bas ek naam dhoond rahe ** jo ki hazaro hai is jahan me par mujhe jiska justuju hai wo ek hi hai is aalam me kahi aisa to nahi ki mai bhi hazaro me hu is jahan me khair hazar hone ka bhi kya fayda jab itne naayab ** ki kahi na mile ** sakta hai mai to hu kahi aur ye to mera zuban baat kar raha hai kahi aisa to nahi ki jaha hu mai waha bhi mera zuban hi baat kar raha hai? kis darya pe hu mojud wo to shayad kisiko na pata kahi aisa to nahi mai hu hi nahi ya phir bas mai hi hu aur sab jhooth mai ye kisse baat kar raha hu kahi ye mai to nahi? kahi ye dunya bas meri hi ek rup to nahi? kahi ye nazm jo padh raha hai wo mai to nahi? ya phir tum hi ** sach aur sab jhooth phir ye nazm jo likh raha hai kahi ye tum to nahi? phir ye janab e lafz mera kahi tumhara to nahi? ya phir tum bhi ** hum bhi hai bas aapne aapne talash me pata nahi kaha se gir gaye hum itni gehri talab me kahi aalam e akbar ye to nahi? kahi jannat-jahannaum ye to nahi? kahi hum to khuda nahi ? kahi khuda to hum nahi? kahi ye to ek sapna nahi? khair agar hai bhi to hume kya hum maut ke intejaar me shab o roz kahi aisa to nahi ki shab bhi hum aur roz bhi hum hai? dantte hai ye log ki, ae 'Aarib' ye kya pagal-pan hai? shayad aisa na ** ki wo log bhi hum hai zindagi to bas intejaar hai maut ka kahi aisa to nahi ki zindagi bhi hum aur maut bhi hum hai?