Khwaab dekho. Khuli aankhon se ya band, fark nahin.
Khwaab humein kahan se kahan leja chhodti hai. Jo kabhi dekha nahin woh dikha deti hai. Jis cheez ko kabhi chhua na **, use bhi mehsoos karwa deti hai.
Kabhi paseene mein bheega jagaati hai, toh kabhi apni ulfat se gaalon ko laal kar deti hai.
Cheekh kar uthaa hai koi toh koi muskuraate.
Koi toh khatam hone ka naam nahin leta. Kisi ke beech mein kat jaane ka gila hai rehta.
Mujhe toh hamesha khatam hone ka intezaar hi raha ------ uske aane tak. Bura dekha, bura jaana, bure ne ghere rakha ab tak.
Mein ne seene par sar rakha, phir usne mere haath par apna bada magar narm haath rakha.
Usko meri nazuk lambi ungliyon se khelna achha laga. Mujhe mohabbat jatane ka yeh tareeqa uska achha laga.