Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sep 2021
Dard bhi kya sikandar hai.
Is ko na kisi ki fikar, na dar hai.
Jab yeh aata hai toh sab bhula deta hai.
Jo fateh karle toh kya ummeed kya khwahish hai.
Bas dard hi dard hai.
Dard se bachna hai.

Khushiyaan aati hai toh kisi na kisi dar ke saath.
Chhin jaane ka dar,
Nazar lag jaane ka dar,
Zyaada khush ** liye toh phir baad mein rone ka dar.

Lekin dard ko kis cheez ka dar?
Jis ka dar tha jab wohi aakar hum se lipat jaaye,
toh phir kis baat ka dar?

Kitni ajeeb baat hai,
aur yeh kaisa mazedaar rishta hai dard aur khushiyon ka.
Khushiyaan dard ka veham lekar aati hai,
toh dard ki inteha ek dhundla sa daawa khushiyon ka.

Lagta toh har kisi ko yahi hai, ke ab is dard se azaadi na mumkin hai.
Magar dard hi toh azaadi hai.
Yeh khaathma nahin.
Yeh toh khaatme ki shakal mein shuruwaat hai
----- ek nayi khushi ki, ek nayi tumhari.
Juwayriya
Written by
Juwayriya  22/F/India
(22/F/India)   
  3.3k
     --- and SUDHANSHU KUMAR
Please log in to view and add comments on poems