Muhammad Khalid Khan December 14, 2018 · Ghazal Tum kaho to main bus wahan rakhon Itnay dil main kahan kahan rakhon Hay sanam khaana ye jahan sara Tum kaho main zuban kahaan rakhon Husan nay hosla barhaya hay Ishq ko kiyun na darmian rakhon Ang ang main charagh jaltay hain Hain andheray kahaan kahaan rakhon Hay Bhanwar main ye zindgi saari Kia main kishti main badban rakhon To mujay mil gia tha rastay main Pass kiyun ab main do jahan rakhon Zard sahra main hay safar sara Sar pa phir kiyun main aasman rakhon Umar sa kaisa lena dena hay Dil ko aye jan na kiyun jawan rakhon Sath hain teray shahr bhar ka log Dil ko main kitna bad guman rakhon Mehr dushman howa jahan sara Bolo janaan ko main kahaan rakhon Colonel Muhammad Khalid Khan Copyright 2018 Hath Main Hath