Ek metro, saanp si guzar rahi hai kuch duur Ek nabh faila hai uske upar - Neela sa kaala Ek chaand chamak raha hai uss nabh mein Kuch baadal sarak rahe hain paas mein uske Usi metro ki tarah par dheere zara Thandi hawayei hain. Usme goonjta mera aaj khada Kuch thandak hai inn hawaon mein Aur bohot sara sukoon bhara
Aisi hi hoti hai wo chaand ki thandak? Jinhen sunte, apna bachpan beet gaya Kya sheetalta swarg ki aisi hai kahin? Jisey suna kayion ka jeevan guzar gaya Kya raambaan sukh yahi toh nahi Kya kamdhenu vriksha aisa tha kabhi Kya Ramcharitmanas mein hanumat Ka Rambhakti amrit lagta tha yun hi?
Aisa hi amritmay bachpan mein, yaad hai mujhko lagta tha Zameen se shuru uss lambi khidki Se yahi chaand chamakta dikhta tha Mama sa ban chup shant bhav se Kuch baatein meri sunta tha
Kyunki khud bhumi par bistar pe so Holi mujhe khilayi thi Khud bhookhe reh uss ke paiso Se mere bhai ko idli chakhayi thi Bohot pasand thi usko uski idli Aur rangbhari mujhe holi meri
Kya kabhi unhen main unka wapas Ye rinn chukta kar paungi Kya kabhi unnsi balwaan main ban kar Unke liye itna kar paungi? Kya usi chaand ki thandak si khushiyan Unki jholi mein bhar paungi?
Kya bhool maaf karne ki hadd Ko paar kar kar ke thake nahi wo? Kya raat bhar bhi jagkar subah Hans dawa banna bhoole nahi wo Kya insaani roop mein hain Bhagwan, "maa baap" kehlate jo?