Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Feb 2019
Aaj phir se uthai Kalam hath me
Kuch batane ka panno ko dil chahta hai,
Labzo me jo baat keh naa saka
Geet me gungunane ko dil chahta hai |

Kaun kehta hai ki tujh se pyar karte hai log
Bas jarurte puri karte hai log |
Jab tak zinda hai sauhrate hai teri,
Mare **** ko bhi kahan ghar me rakhte hai log |

Na koi hai tera na tu hai kisika
Jo chahe tuje tu ban jaa usi ka
Khel matlab ka duniya ne khela sada hai
Tu bhi hissa usika me bhi hissa usi ka

Jala ke **** ko rakh baha de nadi me
Aisi duniya se chutkara dil chahta hai
Aaj phir se uthai kalam hath me
Kuch batane ka panno ko dil chahta hai |

Yun to chalti rahi jindagi na ruki,
Koi aata raha koi jata raha |
Kayi khel ke dil se mere khilone ki tarah
Dil ko apne har dum behlata raha |

Kisi ne chaha kisi ne toda muje,
Me phir bhi sada muskurata raha |
Kabhi roya kabhi sadme me beh gaya,
Dil ko har baar apne behlata raha |


Badi faramaush hai duniya samaj me gaya,
Fir bhi kisi ko chahne ko dil chahta hai
Aaj phir se uthai Kalam hath me
Kuch batane ka panno ko dil chahta hai |
Written by
Bleeding Doc  40/M
(40/M)   
1.6k
 
Please log in to view and add comments on poems