Me bhi tumhari tarah 1 aam insaan hu Pareshaniya mene bhi dekhi hai, takleefe mene bhi sahi h Kuch waqt k liye khud Ko kamzor bhi paya hai Mera bhi man mushkilo ko dekhkar ghbraya hai,
Par inhi sab chizo se 1 tajurba paaya hai Jisne Zindagi ko jeena ka 1 naya rang sikhaya hai
Sangharsh aur musibatein to jivan ka ek hissa hai Aage bhi badna hai sangharsh bhi nahi krna hai ye to galat kissa hai
Sangharsh ke bina tajurba kaha se laoge Aur tajurbe ke bina kya sikhoge aur sikhaoge
Ab waqt aa gaya hai tumhe himmat dikhani hogi, Apni kathinaiyo par apni asfaltao par tumko Vijay Pani hogi Apne irado ko or majbut banana hoga Kuch karna hai kuch karna hai in jazbato ko dil me utarna hoga
Ye zindagi ki ladai hai tumhe khud hi ladni hogi Apni kamiyo ko taqat banane ki kala tumhe sikhni hogi Tum chaho to duniya jeet skte ** Apne har sapne ko haqueeqat me badal skte ** !!! :)
An inspiration poem which inspires to fight with the conflicts