Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Dec 2017
Zindagi me kai ese moke aaenge jab tum apne apko 1 ajib kashmo kash me paoge,
Kai viparit paristhityo ka dar tumhe sataega,
Kya galat hai kya sahi tumhe kuch smjh nahi aaega,

Ye kuch uljhne hai jo har kisi ki Zindagi me alg alg samay pr aati hai
Jo ki us waqt pr bhut soch smjhkr kuch faislo se suljhai jati hai

Par kya wo faisle lena itna aasan hota hai?

Kyu ki wo 1 faisla shyd puri zindagi ko bdl skta hai

Har faisle me Kuch panne ki tammana, to kuch khone ka dar to hoga
Par un sab raaho me se kisi 1 ko tumhe chunna hoga,

Us raah ko chunne ke liye tum Hazaro logo se ray mashwara karte **
Kai baar apne dil ki chod, gairo ki baat par bh yakin karte **

Par smjho is baat ko, ki Hazaro se sunkr bhi tumhara dil kis chiz ko chahta hai
Dhundho, Kya hai wo esa jisko tumhara man puri mehnat, lagan aur jazbato k sath karna chahta hai.

Kyu ki Sahi to sab kuch hai is duniya me
Par tumhare liye kya sahi hai ye tumhi jaan skte **
Apne andar ki kabiliyat ko pehchankar, Mehnat kar
apne sapno ko haqueeqat bana skte ** !!
An inspirational poem, which teaches how to take the decision in life.
Shivam Porwal
Written by
Shivam Porwal  22/M/Ujjain India
(22/M/Ujjain India)   
  2.7k
 
Please log in to view and add comments on poems