(Let them see the world) Dekho Manhooos Paida Hui Hai Sabke Chehere Pe Maatam Chaa Gaya Aur Betii Bojh Ban Gayi
Bojh Shayad Kuch Kam Hua Tha Jab Iskaa Ek Chotaa Bhaii Hua Tha
Par Shayad Kabse Sach Hua Tha Simaat Gayi Akelepan Mein
Baith Baith Ke Sapne Bunti Raat Ko Voh Taare Gintii
Gintii? Gintii Toh Mujko Aati Nahi
Baabujii Ne School Nahi Bheja Mujko Betii Hoon Naah? !!
Aaj Veera Aayega Toh Ussey Kahungi Gintii Sikhaa De. :') Taaare Ginne Hai Mujko
Betii Honaaa Paap Hai Betii Toh Bojh Hotii Hai Naah Papa Bhi Yahii Kehete Hai
Solaah (16) Saal Kii Umaar Me Voh Laal Jodaa Mujhpe Bojh Ban Gaya Aur Baabuji Kaa Bojh Shayad Kuch Halkaa ** Gaya Ispe Kayi Sitaare Lage The Aur Muje Abbhi Gintii Nai Aatii Thi
Dekho Manhoos Paida Hui Hai Mai Manhoos Banke Reh Gayi Sabke Chehere Pe Muskaan Thi Aaj Aur Beti Bojh Banke Reh Gaayi.
This is a poem about all those daughters who are still considered as a burden a bane. ACCEPT THEM WITH SMILES THEY AREN'T BURDENS A MOTHERS SMILE HELP YOU GROW A SISTERS SMILE NEVER LETS YOUR SMILE FADE AWAY A DAUGHTERS SMILE KEEPS YOU YOUNG