Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Jan 2016
Mujhe wo aksar kehta tha
Muhabat kuch nhi hoti

Hijar ka khauf be matlab
Wasl k khwab bemani

... Nighaoon main koi soorat
Kahan din rat rehti hai

Usy q khamoshi kahain
K jis main bat rehti hai

Wo ankhain kaisi hoti hain?
Jahan barsat rehti hai

Yeh ansu bezaban ansu
Bhala kya bol saktay hain

Or uski narm palko pe nami
Din rat rehti hai

Mujhe wo aksar kehta tha
Mohabbat kuch nahi hoti

Magar jab aj barson bad
Main ne usko dekha hai

K uski jheel ankho main
Hijar ka khof rehta hai

Wasl k khwab rehtay hain
Wahan barsat rehti hai

Yun lagta hai k barson se
Wo soya v nahi shayad

Yun lagta hai kisi ki yada barson se
Usy din rat rehti hai

Or uski narm palkon pe
Haseen saay be geelay hain

Or uski khamoshi aisi k
Jis main bat rehti hai

Mujhe ab wo nahee kehta
Muhabat kch nahee hoti.
CopyrightΒ© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Shashank K Dwivedi
Written by
Shashank K Dwivedi  27/M/Guwahati
(27/M/Guwahati)   
  17.0k
 
Please log in to view and add comments on poems