Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
May 2015
Ai dil tu etna beqarar kyon hain,
Jise kabhi na thi teri fikra
wohi tere liye aaj khas kyon hain,
ai dil tu etna beqarar kyon hain. ..


Gam ke saye me ghut ghut ke ji raha hoon,
aanshuo ko apne jaam ki tarah pi raha hoon,
phir bhi meri aankhon me
teri hi aas kyon hain,
Ai dil tu etna beqarar kyon hain,
Ai dil tu etna beqarar kyon hain..


aasman me tujhko dhundhta hoon,
chand ki tarah tujhko pujta hoon,
aankhon me teri jhalak ke liye ek kasak kyon
hain,
ai dil tu etna beqarar kyon hain,
jise kabhi na thi teri fikra
wahi tere lia aaj khas kyon hain..


tumhare lia jo sajaye the sapne humne,
un sapno ko tor kahan chale gye tum,
aaj bhi teri yaadon ke
dil me mere ek khawab kyon hain,
ai dil tu etna beqarar kyon hain ..
Shrivastva MK
Written by
Shrivastva MK  23/M/INDIA
(23/M/INDIA)   
Please log in to view and add comments on poems