Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ain Sep 2020
Saraab....

Tu ek khayaal se zyada kuch aur tha bhi nahi...
Bas ek khwaab se zyada tu kuch hua bhi nahi...
Woh ek zakhm jo dil ko kabhi mila hi nahi...
Tu hai woh dard jo mehsus ** saka hi nahi...

Woh lafz the mehez alfaaz sach hue hi nahi....
Na haq vo baaton ke parde kabhi khule hi nahi...
Humare ijz ka un par asar hua hi nahi...
Ki inkisari mein hum ne bhi kuch kaha hi nahi....

Teri ranjish kabhi dil ko hui ata hi nahi...
Mera daaman teri khalish se bhar saka hi nahi...
Woh faasla kabhi jo paar kar sake hi nahi...
Woh raasta ke jin pe paon chal sake hi nahi...

Tu ek yaad hai jise yaad rakh sake hi nahi...
Tu ek saraab hai jise haath dhar sake hi nahi...
Aazmana kisi ko kab yeh achchi aadat hai...
Aazmaish se hum kabhi juda hue hi nahi...

Ke intekhaab jo tera maine kiya tha kabhi...
Munasebat ke daayre se vo juda hi nahi...
Woh ek sada jo kabhi pesh kar saka hi nahi...
Vo ilteja kabhi bhi tu jo sun saka hi nahi...

Meri aankhon ko deed tera ** saka hi nahi...
Teri khushboo se **** mera tar hua hi nahi...
Woh jo qurbat sa kuch mehsus ** raha tha mujhe...
Wasl ka lutf woh mujhe kabhi mila hi nahi...

Kyun jo tu khud parast nahi to dekhta hi nahi...
Kyun nigaah tu meri taraf phira saka hi nahi...
Woh jo sehra tumhe yun sabz nazar aata raha...
Saraab tha kabhi waha yahan hua hi nahi...

Kaha tha us ne ke mujh ko bas ek nida dena...
Ae dil tu maan le tha tu ne yeh suna hi nahi...
Teri nigaah mein umeed ek basi thi jo “Ain”...
Nazar ka dhoka tha ke kuch kabhi basa hi nahi....
Hira malik Feb 2019
yay jo haal hoa sare- shaam hi,
siyah dasht -o- garibaan hoa,
Mjhay hasil naan tha jo kamal bhe,
Wo bay-sabab shikasta -o -jaan hoa..
aay rahbar -e-zindagi, yay kaisi taveel tar raat hai,
Naan amaan mili, naan hi koe imtihaan hoa!!
Wo jo pamaal kar gay meray khwab ko,
us hashar-e- jaan ka kia samaan hoa;
Yunheen gard main liptay bujhay khayal,
Shahr say jaanay ka yun ihtimaam hoa!
Yay rang nhn saraab hain,yay ehsaas say door paar hain,
Meray bayrabt say tootay pyaar main,Jo hoa tou bass yunheen hoa!!
Janid Kashmiri Nov 2024
Guzar ta nahi ye shaam-e-gham  
Zindagi ke dukhon ka hai peham sitam  

Qadam qadam par thakan ka pehra  
Himaton ke chiragh bhi ** gaye madhham  

Musaafir hoon raahon ka jin ko khabar  
Manzilon ka saraab hai, dil ka maatam  

Khawab jo bune the, reza reza huye  
Haath khaali rahe, na raha koi dum  

Sawaal ye hai, aye falak-e-jafa  
Kitna aur sehna hai, bata ye sanam  

Guzar jaye ye shaam-e-gham kisi tarah  
Warna raah mein bikhar jayein hum

— The End —