Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Hira malik Sep 2019
Muhabbat chaiay, lazim hai kay
Saans aay aur jay
Jahan muhabbat chalay, hawa ki manind
Kay buhat tapash hai
Aur dil ki zameen mun kholay haanp rahi hai
Aur nazar kaheen poshida hai
Dil aur bahar
Har taraf
Ikk hi hawa hai
Loo ki manind
Larazti, sansanati ***
Jaisay haddion ko murjha day
Aur thara day saans ki simt ko!!

Kaheen bhe nhn, kuch bhe nhn
Jahan jaon, jahan tharon
Wahan kuch bhe nhn, kabhi bhe nhn.
Ehsaas kahan hai? Yay dil tou ab ikk pinjra hai
Jahan ka makeen bolay tou maut, saans bhe maut, harkat bhe kafan, lafz bhe khatam!

Kuch hai, in dinon, kay shaam ka ilhaam
Meray dil kay darwazon pay
Khafeef ahat say bhe
Maut paida karta hai
Aur iska paida hona
Meray wajood main
Ikk Ah ban kar raqs karta hai.
Kuch hai
Kuch tou hai
Iss shaam main , aaj kal!

Rung-o- boo ki nami, uss ehsaas ka sarood
Kaheen ab samandar paar sakoot ki chadar orhay baitha hai
Aur idhar mera wajood
Bass akhri saans ikk umeed ki aas pay laita thahar sa gya hai...
Hira malik Dec 2019
Angaray, Shamma-n kay aagay
Yun dikhtay hain,
Jaisay shola bujh sa jayy kissi udaas shaam main
Aur kuch nahin
Yay ehsaas ki maut hai
Jiss Kay Kafan main paiwasta  chaid
Najanay kuen sakoot orhay baithay hain.....

Insaan ka wajood itna aarzi kuen hai
Kay jab roay tou bulbulay ki manind phatt jay
Aur jab ** saakan, tou kainaat naan chalay.....
Kia karna aisay but-t ka
Jo khud ko jaga naan sakay
Har simt hai bass hoo
Haq hoo
Ya hoo ka alam
Har lafz main bass hoo....

Anbaar hai kay uthaya nahin jata
Har baar sulaya nahin jata
Bass chain aur roh ki ikk jang hai
Aur uss jung ka haara ikk thakka insaan......
Its in Urdu language. I am hating this forum for not expressing urdu in its form but in roman english
Hira malik Jun 2020
muhabbat ka faham jana tou dil ro para
yay kaisa ilm hai kay jiss raah gya wahan shor para

yay dekho kon hai saaqi jo chala aa raha hai khaali hath
naan mayy hai naan masti, naan may kadday ka shoor para

zamana saaz tha, par sakoot main raha umar bhar
magar roze hashar yay kuen aur kaisa shaur para

aur phir jab dill tota, aur ishq ki baazi haar gya
wo shaksh murjha gya aur hanstay hanstay phir ro para

— The End —