Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Phir se ja raha hai tu
Wohi raah me jo chhor chuka hai tu
Kashmkash si jindagi ke safar me
Najane kanha kho chuka hai tu
Nadaan se anjaan sa ** gaya hai tu
Dhoop me tadapta jaan ke
Kyu itna phoolon se baat karta hai tu
Pagal sa tera dil ...
Kyu itni saari dillagi me doob gaya hai tu
Waqt se naraaz hai
Par halaat me dard  e junoon me
Pyaar ki talash me ghumsum sa ghum raha hai tu ... Najane kanha kanha??
Aakhir Laut ke mehkhane me so gaya hai tu!!
Waqt hi waqt me
Waqt ke na sath
Na waqt ke Baad
Tum kyu itna sochte **
Kyu yakeen se darte **
Kaise yeh aawargi hai
Kaisa yeh pagalpan hai
Sachhai Ko nazarandaaz kiye
Mast magan phirte **...
Tanhai ke do Lamhe aur
Sadiyon ki pyaas sa samundar
Bebasi si chhayi ...neele Aakash me
Jaise ki baoli me doob si gayi ek Aahat
Ghootan si dhoowaan e sharaab...
Waqt se koso dur...
Ek ...jindagi...khwaab liye ...
Khwaab me intezaar ...aur narazgi khud se...
.................aur...madira... mehkhane...me chur Karti...
Kaanch ki chubhan....nachti sharaab.......bewaqt
Waqt se  kusur e ghumsum.
..chup chaap...
Ek taraf nazreen jhhuki...
Aur jhuki si reh gayi...
Aahat e mazburiyaan
Aur
Dar e Ishqiya...
...

..
Ruka tha tere liye
Aur chalne lagi ishq ki hawaa
Ek awaaz pyaar ki
Dheere dheere
Haule haule
Ghul gayi meethas me
Waqt achha lagne laga
Aur khwaab me hasne lage bina nasha ke
Mehkhane se dusri disha chal diye
Parinde ishq ke
...
Waqt ke sath sath jeena chhor diya...
Aur ja ke mehkhane me pina jor diya...
Berukhi si jindagi me dhoop me aur dhoop
Tanhai me sulaya khud ko...

Bewajah ek sapna jor kar...
Chal rahe hai

Yunhi

Chal rahe hai

yunhi
Na jane kanha jayenge...
Ya
Wanha jana theek rahega yanha log nahi jate...

Phir..
Chal diye

...
Manzilon ki talash me...
Pal pal manzil badalte...
Khuch rukhe se swabhaav me
Khud par bar bar hanste...
Kya yunhi kat jayenge saare raste
Khuch pagalpan me...
Aur
Khuch deewangi me...
Aur
Awarapan me
...
..
.
Tum bhul Gaye mujhe
Is tarah ki me bhul Gaya apne aap Ko
Mehfil e mehkhane
Pyaar ki judaai e bepanhah Ishq
Kya karta mein ...
Mein jee ke na jeeya
Tere aarzoo e hasi
Teri yaad


Teri yaad
Aur Silsila tanhai ka
Tu Kanha
Mein dhuwaa e dhoondta
Teri Ruh Ko pyaar karta
Khud Ko bhula diya
Haan meine khud Ko bhula diya
Ishq ki baoli me
Dhoop me khud Ko jala diya
Teri Ruh Ko dekhta Nashe e jaam me
Safar Safar kar raha hu
Bin tere kyo jee raha hu
Raaz e dard
Mehkhane aur sangeet ki leher
Dhun e ishq
Nazar e andaaz e nadaan...
...
Kya karta tere bina mein
Jalta raha saari raat...
Mehkhane  ke andhere me
Jab suraj jaaga tab mein soya
Neend ke samundar me
Tujhe dhoondta phirta...
Kanha kanha?
Na jane kanha....
Pagal tha shayad mein
Jo Teri yaadon me khoya...
...


Haan ab bhi dooba hu...
Neend me hu...
..
Kyu jaagu mein?
hum juda ** gaye
waqt se pehle
socha tha ki milenge
phir kabhi...
aur woh phir kabhi....
phir kabhi...me waqt se khafa ** gaye


ab mehkhane mehfil me
dhoondte bhulne ki dawa ko!!!
Mein yunhi

Doobta raha

Yeh kaisi naraazgi hai

Jo mazbur e tabyat
Laga hu mehkhane

Ajeeb si betaabi

Bejawah e tamanaah
Aadhi adhuri rooh e aashiqui


Dard me ghulta mein
Oski teekhi nazrein...
Ishq gazab sa...
Kya kahe ab?
Tum ** toh lagta hai Dil
Tum nahi toh hosh Kanha
Phirte hu aawargi me daru aur mehkhane me
Chahe Shaam ** chahe subhah...
Mein chala
Mein chala
Najane Kanha
Najane Kanha
Kisko pata
Kisko pata
Mein hu lapata
Mein hu lapata

...
.
.
Mein tera intezaar me
Baar bar
Baar bar
...
Kaisi yeh jindagi hai
Har taraf berukhi hai
Kya waqt ki yeh pabandi hai
Yanha wanha jani anjani si
Keval pal do pal ki khusi hai
Toota hai mann mera
Rootha hai dil mera
Mano ya na mano
Mehkhane me dooba mein
sara ka sara
...
Jaisi ki mein naraaz tha
Par...mein naraazgi me khoya
Mehkhane se dur...
Najane kanha chala gaya
Phir
...
Muskurahat...
Aur labo par woh baat anjaani
Dil kanha kanha phire
Kyu yeh therta nahi...
Ek jagah
.
.

Wajah...
Dhoondta
Par
Khud ko
par
mehkhane ke paas pata
Lapata
....

— The End —