Jo puraani yaadon mein zindagi dhundha kartey hai
unhe sirf do pal ki muskurahat naseeb hoti hai
aur phir umar bhar ki tanhai
ek aisi tanhai jaha hum bhari mehfil mein bhi akele ** jaate hai
aur adhura pan bhi hamein pura lagne lagta hai
ek aisi manhoosiyat dil pe cha jaati hai Jo chahe bhi mit nhi paati aur vo yaadein bhulaaye bhi bhula nhi paate reh reh k **** mein gade kaante ki tarah dard diye jaata hai
aur hum hans hans kar ise taal diya karte hai kyun ki shaayad mukaddar ko yahi manzur tha
kya shikva hum kisi aur se kare
jab manzil hi humse Ruth gayi
Jo naayab tohfa khuda se mili
haatho se yun choot gayi
vo toot k bikhri aur kinare par jaa Giri
aur kashti humari doob gayi
P.S. - well Hindi shaayari or writing is not my field/area. it all happened spontaneously. just got nostalgic of few memories and later (series of thought) is present here...¡¡¡