Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aslam M Jun 2018
Lal rang ki saree ka jawaab nahi hai.
Aisa lagta hai ki Rooh ka libaas hai.  

Haseen Badaan  ko chupati bhi hai
Dil kai dhadkanai kau badaati  hai.  

Kamaar ki woh thar tharanaa.  
Kamil naaf ka woh chup chupunaa.  

Woh gehri aur nazuk sai sozen kari
Aap ki khobsuraati ka izafa kar dehti hai.

Lal rang ki saree ka jawaab nahi hai.
Aisa lagta hai ki Rooh ka libaas hai.
Tere husn ki khushboo
Ne Kiya mujhe fanaa
Are yeh ishq hai
Beparwaah
Tere libaas nahin
Tera **** aankhein
Hee Hain Tere
Dhakne
Ki wajah
Teri rooh hi hai
Meri pannah
Are mohabbat
Aaja mere
Karib
Toohi hai
Meri ishq
Ham Hain
Ishqzaade
Ain Sep 2020
Kuch fasanon ko afsana hi bana rehne do...
Behtar bhi yehi hai ke yeh ishq fana rehne do....

Haan yeh Maana ke Jab dil ke taar jud jaate hain....
Un dilon mein phir shanasaaiyan badh jaate hain...

Par Jab ek din unki rahon ko juda hona hai....
Har qadam par phir unko to kuch khona hai....

Aise rishte pe ek lagaam si hi rehne do. ....
Sabr karlo saqi ke jaam dhara rehne do. ...

Faasle bante hain to badh ke inhe badhne do...
Wasl ke khwaab ko libaas e hijr se sajne do...

Haan woh tha ek deewana aur uski Noor thi tum. ...
"Ain" mein uske basi past e shakl e **** thi tum....

Ashk ki shakl mein ab aankh mein bas jaane do....
Aaine aab mein dayam use kho jaane do....
Ain Sep 2020
Tum se yeh mohabbat ka jo shewa Maine pehna hai
Ab kya kahun ke kafan ka kapda Maine pehna hai

Har shai mein teri yaadon ka sehra maine pehna hai
Kaanton se jo bana hai woh zewar Maine pehna hai

pal bhar ka wasl phir wada e hijr maine pehna hai
Anjaam e ishq ka yeh naya tamgha Maine pehna hai

Wafa ke ghar jafa ka yeh keechad maine pehna hai
Ilzaamon ke rangon ka ek saaya maine pehna hai...

Kya kahun Ae Ain ishq mein kya kya Maine pehna hai
Haya ko karke tark libaas e behaya pehna hai...

— The End —