Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Pranay Patel Oct 2020
Are ye  to batao tum chahte ** kya?
Alag thalag bhi kar doge, jo pana chahte **
vo  pa loge ham bhi bhul jaenge
magar itihaas nahin bhulega.
Dange bhi karaaoge, khedh bhi jataoge
ek baat yaad rakhna tum bada pachtaoge.

Namak wali rotiya khilaoge, pani wali chai banaoge
Bin karan lathiya chalvaoge
Aazad desh bolkar media ko zukaoge
Dhayan bhatkakar chai va biskut bhi tum khaoge
Per ek na ek din apne aap ko katghare may paoge.

CAA ke naam par humay daraoge
betu ke kazag makang kar
bahar ka rasta dikhaoge
kapdo ka rang dekh kar
chronology tum samjhoge
antinational bolkar har prashn ko tum dabaoge
Jo aag tumnay lagai vo kesay bujaoge
Aaesi hi lagaygi us maa ki k phut phut kar marjaoge.

Bus mann ki baat tak simit rahakar
kaam ki baat bhul jaoge.
Ek press conference to hoti nahin tumse
tum kya aatmnirbhar banaoge
Saal dar saal shrif aarakshan ko hi tum badaoge,
China ko jhutha bolkar, detention camp banvaoge.
Marne ke bad shidha tum narak mein hi jaaoge.

Ek baat yaad rakhna dost
tum  bada pachtaoge,
TUM BADA PACHTAOGE.
LLZ Apr 2020
Intazaar hai ..
Us pal ka
Jab phele ki tarah apne diye ,
Naam se mujhe pukaroge,
Dudkar mere karib aakar kas ke Gale
Lagaoge.
Intazaar hai..
Us pal ka
Jab pyaar se mujhe phela nivala khilaoge.
Intazaar hai..
Us pal ka
Jab tumhare kande pe sir ,
Rak ke ganto Tak khoo jaungi.
Intazaar hai ..
Us pal ka
Jab apni galtiyu pe ,
Sorry sorry bol kar mujhe manaoge .
Intazaar hai...
Us pal ka
Jab apna Toda sa qaut sirf mere liye nikaloge.
Intazaar hai ...
Us pal ka
Jab phele ki tarah pyaar se
Aapne diye naam se mujhe pukaroge ,
Dur rehke bhi paas hu,
Aisa kah jaoge .
Intazaar hai ....

— The End —