Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ain Sep 2020
Phir teri mohabbat yaad aayi
Phir mera bilagna yaad aaya…
Phir teri naseehat yaad aayi
Tera raub wa jalwa yaad aaya…

Tune jitni jheli takleefein
Us dard ka ehsaas yaad aaya…
Tune zindagi bhar jo bhi kiya
Tera jud o karam sab yaad aaya. ....

Teri kaawishein teri koshishein?Tera jaan lagana yaad aaya. ...
Teri neikiyan tere khair amal..
Tera pyaar lutana yaad aaya...

Teri hayaat se seekhe hain jo jo...?Har ek sabaq woh yaad aaya. ...
Tera muskata har dam chehra...?Woh roshan nazara yaad aaya. ....

Ba vaqaar jo jhele gham tune...?Tera sabr se sehna yaad aaya….
Teri zinda dili teri saada dili...?Deen' mein thos aqeedah yaad aaya. ....

Beta, bhai, shohar, walid ** ya dost?Har ek farz nibhana yaad aaya. ....
“Ain" tum bhi amanat daari karo...?Usne hi seekhaya......yaad aaya..???

Phir mera tadapna yaad aaya...
Lamha rukhsat ka jo yaad aaya…
Ae Firoz tu aisi misaal bana.....?Jaane kitnon ko tu yaad aaya. ....
Ain Sep 2020
Khoobsoorti sadaf ki be misaal hoti hai....
Raaz hai uska jo chipa us mein ek moti hai.....

Sadaf ke do pat gar misaal e miya biwi hain...
Unki shadi ka rishta hi woh chipa moti hai...

Naazuk magar bohot woh baareek taar hota hai. ....
Jo us moti ko bana ke haar apne mein pirota hai...

Lamhe se lamha judta hai to ek zindagi banti hai...
Aur do zindagiyan milti hai to  ek shadi ki ladi banti hai...

Qadam se qadam milane mein khud ki pehchaan bhi khoti hai...
Alag se rang mein rangi phir shaksiyat dono ki nikharti hai....

Azwaji zindagi ke kuch apne masale bhi hote hain...
Kaanton se bhari raahon mein paththar bhi biche hote hain....

Zakhm in rahon par chal kar zaroor hasil hote hain...
Tab woh dono hi to ek duje ka marham hote hain...

17 saalon mein maine to bas itna hi seekha hai....
Hai woh kaamyaab rishta mohabbat se jisko seecha hai...

Sona chandi jis tarah ek aurat ko sajata hai...
Pyar o ehteraam waise hi rishte ko banata hai...

Wafa ka bhi to ek bohot ehm muqaam hota hai...
Qaayam uske dam pe hi to aitmaad hota hai....

Kuch aise hi to daqeeq yeh uroosi rishte hote hain....
Beinteha mohabbat se jinhe in jodon ne seechein hain...

25 o 50 salon ka yeh safar e taweel mubarak **. ..
Aapko yeh khoobsurat qaid e hayaat mubarak **. ..

Dua karti hain "Ain" laa zawal mausam e ulfat **....
Masrur rahe hayaat, har lamha pur rifaqat **...
Mohini Jul 2020
Sifar se nayab banu,
Tere tabeer ki malika rahu.
Ye murad, ye hasrat hai meri
Ulfat banke chhavu, hayaat me teri !!

Mere nam ko tere nam se jodu,
Ye khwahish hai adhuri.
Talashna teri Khushiyon ko, hai trishna meri
Ulfat banke chhavu, hayaat me teri !!

Khuda se pucha, kya hai maqaam mera?
Us khuda se pucha, kya hai maqaam mera?
Bole mehr-o-maah...
Tera dil, tera aashiyana kre tammana meri
Ulfat banke chhavu, hayaat me teri !!
Amjad Khan Nov 2017
Mare Hayaat Ka Hasil Ha Tare Dar Ki Zeaarat

Gungashat Se Lafzoun Mein Khuli Mehdhat Ki Besharat

Nukta Bhi Gawara Nai Tare Naam Ke Sahat

Khalik Ne Ajab Rakhi ha Tujh Mein Taharat

Ranjash Mein Dooba Ha Mera Khoof e Dil

Ab Dil Pe Bhi ** Jaaye AAQA Ki Enayaat

DiloJigar Kiyoun Lafaz Kushan Hain Mare

Amjid Ko Bhi Hasil ** Tare Dar Ki Sahadat..

Mare Hayaat Ka Hasil ha Tare Dar Ki Zearaat.... .
Share mare hi the..
Simpleton May 2018
Hayat
She is my daydreamer
The girl that wandered far but never away
Closed her eyes and relaxed her body
"I'm so happy" she would whisper
An utterance that would appreciate the moment
Hayat
She taught me to breathe consciously
To find peace within me
I learned to be content with the sky
And it's moods
Because of Hayat
I waited for time
Hayaat
She taught me how to smile
How to loosen my shoulders
And put a skip in my steps
When it felt like things are going wrong
My life, her forehead would touch my back
She would splay her fingers across my lungs
Bir nefes yeter
She would say
One breath is enough
Yavaşça
Slowly
Yavaşça
Life taught me how to live

— The End —