Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey May 2019
beghar bhi agar yun kar diya hota,
khuda mai karta nahi shikayat,
agar pyar mera mujhko de diya hota,
mai raah koi nahi chalta jameen par,
ek baar ae khuda,
mera pyar mujhko de diya hota.....
nahi karta shikayat tumse mai mujhko rulane ki,
na  mujhko bhool jane ki,
na bajar me mera ghar basane ki,
mai to har dhar me bhi tera rah gujar hota,
bas mera pyar mujhko de diya hota.....
nahi karta shikayat mere maula,
mujhe barbaad karne ki,
meri kashti dubane ki,
na mere pas aane ki,
na majdhar me chod kar jane ki,
mai to fir bhi tera rahmo karam padhta,
bas mera pyar mujhko de diya hota......
nahi karta shikayat mere maalik,
k mujhko kyu sataya hai,
bina mere pyar k yun mujhko tadpaya hai,
ku bhookha sulaya hai,
kyun meri hasti mitayi hai,
sab loot liya mujhse,
fir bhi na meri maut aayi hai,
mai jindagi kho k bhi tera shukrana ada karta,
bas ek baar mera pyar mujhko de diya hota,
mai bhi ji leta,
apna ghar bana liya hota,
bas ek bar mujhe pyar mera de diya hota..
Ankit Dubey May 2019
Tum bhi na bhoologe,
Kabhi mai bhi na bhooloonga,
Kabhi tum yaad aaoge,
Kabhi mai tumko yaad aaunga,
Jindagi yun hi gujar jayegi,
Shayad intjaar ji karta rah jaunga,
Pyar mai umse karta hu,
Tum bhi to mujhpe marti **,
Kabhi tum lautkar aana,
Tumhe har pal mai chahunga,
Kabhi khamosh hota hu,
Kabhi tum chup rahti **,
Bina tere mera ye dil har pal rota hai,
Ab intjaar nahi hota,
Kabhi to paas aa jao,
Pyar kar lo tum mujhse,
Mai bhi khud ko bhula doonga,
Tumhe har pal mai chahunga,
Tumhe har pal mai chahunga,
Bina tere kabhi khud ko khush na rakh paunga,
Jab teri yaad aati hai,
Aanso bahne lagte hai,
Aankhen dukhne lagti hai,
Saanse rukne lagti hai,
Dil me toofan uthta hai,
Khud ko mai khine lagta hu,
Kabhi to paas aa jao,
Mera kya haal hai dekho,
Tumhare bina shayad ab aur na rah paunga,
Tumhe mai pyar karta hu,
Tumhe mai har pal chahunga....
I love u
Ankit Dubey May 2019
Kyuu tumhe raat majboor nahi karti mere paas aane ko,
Ku har pal bhool jaati ** mujhe yaad karne ko,
Jara tum bhi is daur se gujar k dekho,
Jisme agar chahat hai to teri hai,
Mohabbat hai to tujhse hai,
Jaroorat hai to teri hai,
Khayal hai to sirf tera hai,
Ku tere sapne nahi batate mujhse milne ko,
Ku khamoshi nahi tadpati mere khyal lane ko,
Kabhi dil me mujhe vo jagah dekar dekho,
Jahan yaad hai to tumhati hai,
Sath hai to tumhara hai,
Doori hai agar tujhse to dar lagta hai,
Tere sath bas tere sath jine ko har pal ye dil marta hai.
I love u

— The End —