Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shivpriya Apr 2019
Sahme hue dukhon ne
jab mujhe sataaya, tab
bikharne se bachaya
tumne!

Uski zinda chalakti
hui umang, ka khayaal
rakha tumne!

Ye alfaazon ke
ehasaas hain,
abhi bhi bekhabar!

Inki behaki si naraazgi
abhi bhi laati hai,
aankhon
mein nammi!

Dil tootne ki awaaz nai hoti,
isliye bachalo muje.
Ye gam-gusaar dil dhundta hai
tumara aetbaar!


Shivpriya
#beautifulthingsandemotions
#hindipoem
Shivpriya Nov 2020
Suune ambar ke jazbaaton se..
Unki khiltii hui muskuraahaton se...
Unki dil- daar jesi aur khuda jesi jaan
se....thaam lo mujhe tum unke haaton se!

Aate hain vo mere mann ke
chaav me.. kuch adaa-e-ishq
ke kirne gungunaane!
Chha jaate hain unke qisse
samadhur tarannum mein!

Kaash unke mann ki kiran se nikal
ke...chhu lo tum mujhe!
Fir na manaaungi in dukhon ke
dar-ba-dar sa.nvar ko!
©️shivpoetesspriya
Janid Kashmiri Nov 2024
Guzar ta nahi ye shaam-e-gham  
Zindagi ke dukhon ka hai peham sitam  

Qadam qadam par thakan ka pehra  
Himaton ke chiragh bhi ** gaye madhham  

Musaafir hoon raahon ka jin ko khabar  
Manzilon ka saraab hai, dil ka maatam  

Khawab jo bune the, reza reza huye  
Haath khaali rahe, na raha koi dum  

Sawaal ye hai, aye falak-e-jafa  
Kitna aur sehna hai, bata ye sanam  

Guzar jaye ye shaam-e-gham kisi tarah  
Warna raah mein bikhar jayein hum

— The End —