Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Eshan Mar 2011
Nikle to hum bhi the ghar se yahi soch kar ki shayad is bar manzil tak pahuch jayenge,
kyunki daudna to unhone hume bachpan mein hi sikha diya tha yeh kehkar,
ki agar nahin bhagoge to woh tumhe peeche chod jayenge.

Daudne ki kuch aisi adat se ** gayi hai ki pair ab rukne ka nam hi nahin lete,
lekin hume kya pata tha ki itna age nikal ane se, apne hi paraye,
aur woh sabhi raste anjane se ** jayenge.

Sabse door rehte hue bhi, in anjanon ki bheed mein woh ek chehra apna sa lagta tha,
lekin woh bhi hamesha kisi aur chehre ki talash mein rehta tha.

Sahi raste ko dhoondhne nikle to the, magar yeh nahin pata tha ki itni jaldi thak jayenge.
Kabhi kabhi to lagta hai ki ab ruk jana chahiye, thoda aram kar lena chahiye,
lekin woh bhi namumkin lagta hai kyunki, ab to sapne bhi ajeeb se ate hain.

Chalte chalte, wade to kafi kiye the is safar mein, kuch unse, kuch apne ap se,
lekin yeh andaza bhi nahin tha ki un sabhi umeedon par pani ferte hue chale jayenge.

Yeh mehsoos bhi nahin hua ki apne hi apnon ke pankh kat chuke the,
talash thi to bas us kandhe ki jo is ladkhadate hue ko sahara de sake.

Fir bhi, dheere dheere is katon ki chadar par age badna hai, dil yahi kehta rehta hai,
kyunki jhoothi hansi ki kuch aisi adat si ** gayi hai, ki ab chahte hue bhi dard ka ehsas nahin hota hai.
Baarish ki boond
Aur tere aankhon me woh chand
Hasti ek pehchan
Gungunati pariyon ka mela
Aur mele me yeh dil akela
Dhoondhne laga
Sahi aur galat pata lekar
Mein lapata
Baarish ki boondein
Aaj phir oski yaad me
..
Dhoondta ek
gulab wali hansi ko
Aur woh aankhon me kaajal
...
Woh baatein
Woh barasate
Woh pal
Ban chuke hai
Beetein lamhein
..
Wafa dhoondhne me chala
Phir kya

Jindagi me hasta chala gaya
Tanhai ke alam e josh me
Na mujhko pata
Na osko pata
Aur mera pagalpan e dard
Wo wafa karti  nahi...
Aur mein bewafa hota gaya
Haan mein bewafa...kyuki wafa nahi kar saka...
Dard e junoon...
Phir sharaab e sharaab
....aur toota sa kaanch me dhadakta ye dil...

Teri nur e aankhon me chubh gaya...
Har aashq tune mere naam kar diya...
..
...
..
..
..
.
.
Teri yaad me
Teri yaad
Kis raaste mein chala
mein dhoondhne laga
Ose har pankh me
Meri nazar me woh...
Kya mein bhi oski nazar me?
Mein sochne laga...
Aur shaam dhal gayi..
Ek aur...

— The End —