Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aabid Rumi Apr 2017
KOI AUR HAI
Tere  khaboon mai koi aur hai,aur tere sayee mai  koi aur hai
Kaisay tu dekhay hasrat mere,tu haqeeqat mai koi aur hai
Yeh dil kab tak arizoo karta rahai ,ab koi sabab-e-furkat **
Kaisay tu pehchaanay mere ulfat,tu zahir mai koi ,aur batin mai koi aur hai

Itrey sabnum ki tarah jalah hai mera daman bhi
Mai manzil ki jistu ju kya karoon, ab rasta bhi nazar nhi
yadoon kay samandhar mai dhoob chukka ab toh
Mai haar chukka hoon zindagi  aur ab toh moat bhi ati nhi

Bhulavou yeh gum kaisay ,dil ko kya dawaa doon bhar janay ki
Mai kyun nhi rub a ru khudsay  ,mai kon hoon  ya mujmai he koi aur hai

Faryaad bhi kya ** , naa ashinaa hai yahaan sabhi
Kis  mode pay kya  hogaye koi khabar nhi hummay
Mai toota huva taraa hoon mujmai ab wo  timtimhath kahaan
Lagta Aasmaan bhaag rahaa hai aur zameen fisal rahe ** jaisay

muntazir-e-humraah ** kya,jo rahai thi wo rahai he badhal gaye
Mud kay ab dekhoon  kya, akela rahai safar tha ya koi aur be hai
Mubarak ** tummay ab yeh jahaan dard baraa
Na mud kay kabhi dekhay **** issay dhoobara
Ab aur palkoon pay ashikay baar saha nhi jata
Laboon  pay ab aur bahaana bardast nhi hota

Waqt guzra hai, kyun naa mera bhi saleeka badhal gaye Rumi
Ab aur ranjishay nhi,bhula do ghar koi ghilla aur bhi hai
                                 written by: Aabid Rumi
                             suggested by:Tanzeelah Illahi
when believe becomes faith,life ruins
Teri yaad me
Mein likhta chala gaya...
Ab teri yaad me
Har panchiyon se baatein karta Gaya
..Haan teri yaad me...
Be waqt ghumta mein apni tanhai me...
Dhoob me apni hi parchhai Ko dekh hasne Laga mein
Ab pagal pagal firta mein ...
Ab pagal pagal firta mein...
Yunhi yunhi...
Bas baadlon me chalta mein...

— The End —