Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Himanshu rajput Dec 2015
Tanha yuhi kat jata safar agar tum sath na hote.....
manzil yuhi rhe jaati agar tum sath na hote....

dekhu to duniya mai saari magar....
ye rang dekh na pau....
jee kar bhi is duniya me....
adhoora bin tere rhe jau....

ye baarish yuhi tham jaati ager tum sath na hote....
ye duniya meri tham jaati agar tum sath na hote....

me jaanu to duniya ko kaeyi naam se.....
me jaanu mujhe bs tere naam se....
ye duniya na jaan paati mujhe....
jo ye lafz meri phechaan na hote....

ye naam yu he bikhar jata ager jo tum sath na hote....
hasti meri mar jaati ager tum phechaan na hote....

By : HR COLLECTION
Dharmendra Kumar Apr 2020
aaja kahi Tere sath chale
ji bhar ke tujhko Pyaar  kare

Aise dekhu tujhe Kya baat kahe
Naina hi Pyaar ka izhaar Kare

Sochu tujhe , Aisha khwab rahe
Ki baaho me Teri , saari raat Jage

Aaja kahi Tere sath chale
Ji bhar ke tujhko pyaar kare

Bhige magar na barasat rahe
sanso ko mere ,tera ehasas rahe
Kaise kaise kaise
Teri yaad me
Mein tadapta
Waise waise waise

Wajah jaise ki
Jo bhi **
Pyar aur jakham

Ghum e shayari ** tum
Khafa khafa se hum
Chand aur Suraj ki tarah...
Roz me Dekhu...
Keval tum tum tum

Subhah subhah..
Raat e raat ek  dillagi si
Woh na Jane Kanha...
Aur mein phirta rehta hu
Yanha wanha...najane Kanha Kanha...
Maikhane...me ghulmila ab me tere bin
...
..
..
.

.

..
...
..
Ankit Dubey May 2019
Yun is kadar anjaan banaya tumne  mujhko k khud ko bhi ma pahchan na saku,
Ek to pahle hi tere pyar me pagal tha dil mera,
Kuj aisa kiya tune k jindagi kisi aur rukh pe mod na saku,
Beeti bston me kuj nahi rakha ye janta agar mai hota,
Na rota teri yaad me na yun kabhi tanha hota,
Kabhi kabhi dil karta hai tere kareeb aaun,
Tujhe nigaah bharkar dekhu,
Teri najar se najar milaun,
Par door gaye ** tum to aise k chah kar bhi kareeb tumhare aa na saku,
Silsila bahut purana hai chahne valo k juda hone ka,
Bas pyar karne ka aur ksbhi mil na pane ka,
Kuj haal mera bhi aisa hai,
K tujhe chahu chahta jaun par tujhe kabhi apna bana na saku.....
I love u S
cyn 3d
ummeed to humein bhi thi,
ki hamara likha padhne wale honge kaafi,
par kahan — koi chahta?
likh du shayari agar, kahan kisi ko hai raas aata.

likhne se kuch banne tak ka safar,
maine bhi chaha,
par dekhu jab kisi ko
padhte hue,
sochti *** — kya ye chahein padhna mujhe?

aur jo maine likha,
woh toh kabhi pohonch hi nahi paaya,
jiske liye tha, us tak se pehle hi
usne raasta badal diya.

aur mera raasta yahi tak tha,
ab likhna — ummeed ke liye ki koi padhe,
khareede meri woh kitaabe jo padi hui kahin.
ummeed par duniya kayam hai magar,
iss baar shayad, shayad duniya ke saamne mai jhuk kar khadi,
ki likhungi toh apne liye.

aur agar kahin kisi ko mil jaye
padi hui meri koi bhi kitaab,
toh bas ummeed yahi, ki woh phek na de,
rakh de wapas, bhale laa kar de wapas.
phekna nahi — kyunki har ek shabd mai ***,
aur jo likha, uska har ek zariya meri zindagi ki dor se bandha.

todna nahi.

padhne wale nahi mile toh kya,
likhna toh nahi chhod sakti.
aur shayad padhte bhi unko hi,
jinki jaanne wale bohot, mohabbat karne wale bohot.

aur koi aarzoo?
ek aur khwaish —
bas padh le ye tu, aur mil jaye mujhe meri khushi wali.

bikne ke liye likhna,
kya ghera bandi.
shabd-kosh hi nahi mere paas,
toh phir kaisi tukbandi.

bolne mai aati sharm,
nahi chahti kehna,
mat khareed jo bhi maine likha.
bas padh ke bata de, ban ja ek mohra.

chahti *** duniya dekhe — lekin parde ke peeche se,
bahar nahi dikhna,
nahin hi banna mujhe koi katputla.
thak chuke hoh shayad.

— The End —