Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sk Abdul Aziz Dec 2015
Zindagi may itnay gham saha hoon
Kay abtoh ashqon say dosti ** chuki hai
Ab inhay kuch kehna bhi nahi parta
Jabhi koi mauka hota hai
Yeh khud ba khud meray say mulaqaat karnay chalay aatay hai
(Urdu & Hindi)

English Translation

I've experienced and borne so much sadness in my life
That now tears have become my friends
Now i don't even need to tell them anything
Whenever there arises an opportunity
They just come out on their own and meet me
Hira malik Sep 2019
Muhabbat chaiay, lazim hai kay
Saans aay aur jay
Jahan muhabbat chalay, hawa ki manind
Kay buhat tapash hai
Aur dil ki zameen mun kholay haanp rahi hai
Aur nazar kaheen poshida hai
Dil aur bahar
Har taraf
Ikk hi hawa hai
Loo ki manind
Larazti, sansanati ***
Jaisay haddion ko murjha day
Aur thara day saans ki simt ko!!

Kaheen bhe nhn, kuch bhe nhn
Jahan jaon, jahan tharon
Wahan kuch bhe nhn, kabhi bhe nhn.
Ehsaas kahan hai? Yay dil tou ab ikk pinjra hai
Jahan ka makeen bolay tou maut, saans bhe maut, harkat bhe kafan, lafz bhe khatam!

Kuch hai, in dinon, kay shaam ka ilhaam
Meray dil kay darwazon pay
Khafeef ahat say bhe
Maut paida karta hai
Aur iska paida hona
Meray wajood main
Ikk Ah ban kar raqs karta hai.
Kuch hai
Kuch tou hai
Iss shaam main , aaj kal!

Rung-o- boo ki nami, uss ehsaas ka sarood
Kaheen ab samandar paar sakoot ki chadar orhay baitha hai
Aur idhar mera wajood
Bass akhri saans ikk umeed ki aas pay laita thahar sa gya hai...
Hira malik Jan 2018
Guzar gay kaey din , kiay gham-e-jaanaan main hijrat
Aik wohi tou umeed thee apni, ikk wohi thee muhabbat!!

Tmhain maaloom hai meray ghar kay darwazay muqaffal hain paray
Jahan ikk arsay hawa chalti thee, jahan bastii thee chahat!!

Ab tou yun kharay hain shahrahon pay, kay faqeer ka sa gumaan hota hai
Jiss rastay say khusboo aati thee, tere gul-e-rafaqat!!

Aur phir yun hoa kay raat ki parchai gahri say gahri hoti chali ***
Aur hum dobtay chalay gay, madham saanson say taraf, tere rughbat!!
Hira malik Dec 2019
Angaray, Shamma-n kay aagay
Yun dikhtay hain,
Jaisay shola bujh sa jayy kissi udaas shaam main
Aur kuch nahin
Yay ehsaas ki maut hai
Jiss Kay Kafan main paiwasta  chaid
Najanay kuen sakoot orhay baithay hain.....

Insaan ka wajood itna aarzi kuen hai
Kay jab roay tou bulbulay ki manind phatt jay
Aur jab ** saakan, tou kainaat naan chalay.....
Kia karna aisay but-t ka
Jo khud ko jaga naan sakay
Har simt hai bass hoo
Haq hoo
Ya hoo ka alam
Har lafz main bass hoo....

Anbaar hai kay uthaya nahin jata
Har baar sulaya nahin jata
Bass chain aur roh ki ikk jang hai
Aur uss jung ka haara ikk thakka insaan......
Its in Urdu language. I am hating this forum for not expressing urdu in its form but in roman english
Hira malik Feb 2019
Nhn aayna- e -saaz main go-mago yay kaifiat
Jaisay burg- o -bahar main ** koe chingari
Jiss kay sholon main bujhay yay dil rakh ki soorat
Jisss kay chahray main jalay angari.....

Main wo zaat hon jiss ka koe shahar nhn
Jo jahan chalay wahan aag lagay
Jiss kay bayan main naan zahar naan amar
Jiss kay wajood main dah-kain sab raaz chupay.....

Nhn asbaab koe, nhn imkaan koe
Mere zaat kay hisaab main nhn jaan koe
Phir bhe toofan-e- azam liay chalti hon
Kay meray dard ki intiha ki nhn intiha koe.......
its in roman Urdu language. Urdu is Pakistan language, and its derived from sansikrat!

— The End —