Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Riya jain Oct 2018
andheri thi jo raat wo,
us raat ki kya baat kahun.
jis raat se wo mila nahin,
us raat ki kya subah kahun.

har raat ki h subah mgr,
us raat ki bhi subah hui.
charcha hui to khabar mili,
us shaqs ki toh maut hui.

shaqs to tha wo dost mera,
us shaqs ki kya baat karun.
ladka tha wo bigda magar,
uske dil ki kya taarief karun.
  
maut nahi thi tha wo khoon,
un kaatilon ki kya baat karun.
jese tadpaya un sbko,
Isse bhattar maut unko m ada krun.

galti kya thi un maasumo ki,
jo aisi bhynkr maut mili.
khuda tu hi jawab dega,
kynki tune thi wo maut likhi.

sbko jisne khush tha rkha,
uski shanti k m dua krun.
Yaad rkhnge use hmesha,
uski yaadon ki kya baat karun.

@riya
Purva Barva Jun 2020
Ye khwahish hamesha rehti hai dil mein ki,
Kaash us ek pal ko main phir ek baar saku,
Kaash us ek pal ko main zindagi se nikal saku,
Kaash us ek pal ko badal saku,
Kaash wo ek pal dobara laut aaye,
Aur jo kuch bigda tha use phir thik kar saku,
Ye to pata hai ki har khwahish ek din puri hoti hai,
Bas itni aarzoo hai ki ye bhi ek din mukkamal ** jaye!
Bas ye khwahishen bhi ek din mukkamal ** jaye!

— The End —