Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Dharmendra Kumar May 2020
Duri se sahi pyaar ki baat to Kiya karo
Na mil rahi hai ye nazar to Dil se baat kiya karo
Na jaane kab milenge hum
Na jaane kab honge baat
Yaar tasbir bhi Kam padne laga hai
Dard Dil ka bhi ab aankho se bahne laga hai
Chup hai juba
Ab chehra baya karne laga hai
Tum aana bas
**** bhi ab aakhiri sans lene laga hai
Dharmendra Kumar May 2020
Tum our sirf tum
Kam lagta hai sab
Jab sath na hote ** tum
Barish bhi aa gayee
Kya nahi bhigo ge is baar  tum
Aana hai milna hai
bahut sari baate karna hai
Is baar bas milna tum
Mai bolta rahu
bas sirf sunana tum
Do **** ke ek jaan hai ham
Aksar yahi kahte the tum
Tum aana
Dharmendra Kumar Apr 2020
Jara si shikava me khud ko akela mat samjhna
Dur se duvaa hai Meri, mujhe paraya mat samjhna
Aa ke tham dunga har Gam ko, taqdeer ko itna galat mat samjhna
Yaad aati ** tum
Har pahar har rav
Aham **, khud ko munfarad samjhana
Ahad beet Gaye,
Ajiyat hai kurbato ko samjhana
Rav-aavaj,
munfarad-anokha
Ahad -yug,
ajiyat-dukh,
kurbato-najdikiya
Dharmendra Kumar Apr 2020
Kehna hai tumse kuch
Bas kuch vakt mil jaye

Bas kuch din our ruk
Ki Tere karib aa Jaye

Vaade bahut kiye tumse
Khwayis hai mere Marne se pahle puri ** jaye

Yaad hai mujhe sab bas
Intzaar hai ki mujhe, Meri duniya mil jaye
Dharmendra Kumar Apr 2020
aaja kahi Tere sath chale
ji bhar ke tujhko Pyaar  kare

Aise dekhu tujhe Kya baat kahe
Naina hi Pyaar ka izhaar Kare

Sochu tujhe , Aisha khwab rahe
Ki baaho me Teri , saari raat Jage

Aaja kahi Tere sath chale
Ji bhar ke tujhko pyaar kare

Bhige magar na barasat rahe
sanso ko mere ,tera ehasas rahe
Dharmendra Kumar Apr 2020
Is dil ko na koyee our Manzoor hota hai
Tadapta hai Dil lekin
Aahe bhar ke rota hai

Milna kyo huaa
Jab hona tumse dur hota hai
Tadapta hai Dil lekin
Aahe bhar ke rota hai

Yaad bhi tera aisa
Raat ** ya din
Har pal tera khwab hota hai
Tadapta hai Dil lekin
Aahe bhar ke rota hai

Shikayat Kya Kare unse
Ki dard unka bhi hame takleef deta hai
Tadapta hai Dil lekin
Aahe bhar ke rota hai

Is dil ko na koyee our Manzoor hota hai
Tadapta hai Dil lekin
Aahe bhar ke rota hai
Dharmendra Kumar Apr 2020
Dur ** mujhase,
Baat nahi karte
Yaad nahi karte
Mujhe to isaki aadat hai
Is Dil ko tumse bahut shikayat hai

Kaye baar man kiya
Rok lu apne aap ko
Kya karu is dil ko
Tujhase hi chahat hai
Is Dil ko tumse bahut shikayat hai

Ankhe Tere tasbir pe roti hai
Khud ko dekh aayeene me,
Khud se puchati hai
Tere aane ki aahat hai
Is Dil ko tumse bahut shikayat hai
Pyarr shikayat
Next page