Yun chala main in raston pe, Bhool gaya *** khud ko. Saathi kaun thay mere yaad nahi ab toh Bas koi dikhta hain door khada, halkisi muskaan lekar Aur nahi samjha kyun, main bhi muskaya aise bina wajah Par lagta hain ab aise ke, Shayad wo teri yaad hain
Khoya main apne mein kuch aisa, Yaaron ka nahi hain pata Ghar se hoon itna door, ke ab woh bhi nahi yaad ata Woh gaana sunta jab, gungunta use awaaron jaisa tab Aur nahi samjha main, kyun gungunaya aisa bin matlab Par lagta hain ab aise ke, Shayad woh teri yaad hain
Juda hunye hain hum, milte nahi hain ab hum Din guzre, beete hain ab saal Zindagi mein main apne khoya, tu apne Par phir bhi lagta, shaayad hum milte toh hoti duniya alag Hoti Manzil ek aur raaste ek, Aur hota ek saathi,jise karta nahi main sirf yaadon mein quaid