Kyun sham thaharti nahi tab tak, K tu aa na jaye kareeb jab tak, Kyu raat dhalti nahi tab tak, K tu meri ** na jaye jab tak, Ab to bina wajah hi kai baar dil dhadakta hai, Lekin kyun saanse meri rukti nahi tab tak, K tujhe khud me mahsoos na kar loo jab tak..... k banjar hua ja raha hu mai bina tere, ku akhiri ehsaas tootne se ruk jata nahi tab tak, k akhiri armaan poora mera hi na jaye jab tak, kyu jindagi me tofaan koi aata rahta hai, kyu baki nahi rah jaati jan mujh me tab tak, k tu har pal mujhme na simat jaye jab tak...... bojhil mera dil ku thak jata hai, rota hai, ghabrata hai, aansoo bahata hai, kyu jindagi thokar mujhe marti nahi tab tak, k koi mera mujhko samet le aoni bahon me jab tak, bekhabar bejubaan dil mera ku dard bayan karta nahi tab tak, k koi aayat khuda ki tujhse roobaru hoti nahi jab tak....... kyu gair koi mujhe dard de jata hai, kyun mere liye khuda sab bhool jata hai, kyu har kisi k rooth jane par tu pyar mujhe karta nahi tab tak, k aankhen band ** jaye meri par ehsaaas tera mujhme rah jaye jab tak, k saanse agar na bhi chale, par jikr tera chala rah jaye jab tak........