Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Feb 2019
mene use apna yaar hote dekha he

gazab ka dhoka he dil pe waar hote dekha he

sapna sa tha shayad jo hakikat bana

fr mene har sapna taar taar hote dekha he

baate karta tha mujhse pyar or mohbbat ki

dosti ki had me tha me
par pyar hote dekha he

bichda me jab usse dil
be-karar hote dekha he

jeeti har baazi zindgi me
pyar me haar hote dekha he

yaado me bulate he mitti ki surat banate he

tasveer badlo me banate
to hawao ke palat waar hote dekha he

hamne pyar kiya tha kabi

ab pyar hote dekha he

ab pyar hote dekha he

nk
Neeraj katta
Written by
Neeraj katta  35/M/India
(35/M/India)   
Please log in to view and add comments on poems