Kabhi apne aap ko bhoolti hun
Kabhi apne aap ko chunti hun
Bas dhundhti hun khud ko
Kabhi inn bikhre panno mein
Kabhi inme likhe lafzon mein
Padhti hun khud ko
Kabhi dhokha kha jane mein
Fir khud ko saza de jane mein
Maarti hun khud ko
Kabhi baarish ki awaz mein
Kabhi hawaon ki aahat mein
Dekhti hun khud ko
Kabhi bajte huwe piano mein
Kabhi gaano ke taraano mein
Sunti hun khud ko
Kabhi uski aankhon ke paani mein
Kabhi uski di hui zubani mein
Paati hun khud ko
Bas dhundhti hun khud ko
Bas dhundhti hun khud ko