Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Jun 2018
Barsat ki Ek raat dil ne dimag se pucha,  jo Badal raha wo 'waqt' hai?  
  waqt to Aaj bhi waisa he hai  bachpan me jaisa hota tha wohi savera wahi sham Or baki cheeje tamam
Par tab naa bhigne se lagta tha darr  or  naa sardi jukam,
or wo pani ki shrarate tamam
Jinki Yaad bhar se aa jati hai hothon pe muskan  
par ab aisa kya hua jivan ki iss Dagar me
kahan bhatak gaya in jhuthe rit riwazo me
Kaise jivan ke Arth badalte gaye
Kyo ek funny poem likhne wale
Emotional likhne pe majboor ** gaye

Hawa k jharoko se kashti hilti gayi
waqt k sath mein tau badlta gaya
aur yeh zindagi chalti rahi

pal pal nayi hasratein
har pal naye khwab bunti gayi
aur yeh zindagi chalti gayi

raah mein manzar tau bahut aaye
bulate rahe mujhe mere saaye
mein tau ek pal ko ruk sa gaya
par yeh zindagi chalti gayi

yaadon k saaye mein zinda *** abhi
lagta hai tham sa gay *** mein kahin
par zindagi bewafa sanam si nikli
mein tau ruka reh gaya aur yeh chalti gayi

jindagi har pal apne arth badalti rahi
ham hanste rahe chahhe rote rahe
par woh apni rafataar se bas behati rahi
kabhi ban ke sawal ,kabhi ban ke utar
woh  hame har mod per milti rahi
ham tutate rahe, bikharate rahe
 fir khud hi gir ke sambhalte rahe
aur jindagi yun hi jalti bhujhati rahi

gum mile kuch is tarah ki gum hi gum na lage
khushiyuon  ki baat bhi hame gum ban ke milti rahi
kya kare kisi se shikva, kya kare kisi se shikayat
apne hi jab todate rahe......
toh saans meri har pal ghutati rahi
bas jindagi yuh hi chalti rahi
har pal apne arth badalati rahi
Written by
Bleeding Doc  40/M
(40/M)   
7.2k
   Megha Thakur
Please log in to view and add comments on poems