Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Apr 2018
Dil ke ehsaas hote hain bhut khaas,
Shayad tabhi umadte hai bhut sawaal iske paas.
Tuta dil or tuta darpan hai ek samaan,
Jodne ki koshish karenge tou hoga kudh ko hi dard jiska nahi hai koi bakhaan.


Dil, Dil se milte hai tou pyar hota hai,
Dil, Dil ke liye hi beqarar hota hai,
Ye lafzon ki bhasha nahi samjhta saab,
Ye tou us nayno ke andaaz ko hi smjh leta hai


Yaaron dil kabhi kisi ka dukhana nahi,
Beshak tutne ki awaaz aati nahi.
Par khuda kasam dard bhut hai hota,
Jab ye nanha dil hai rota.

Jab kabhi hum khud se hi ruth jatey hai,
Dil rota hai aur aankhon se ashq tapak jaatey hai,
Ye bahut nadaan hota hai,
Bin soche hi pyar kr leta hai

Bin ankhiyon ke dekh leta hai bahut kuch,
Bin kaano ke sun leta hai har raag sach much.
Haal apne dil ka suna nahi sakte
Ujad gayi hai duniya jo thi khubsurat isme baste

Sab kuchh es chhote dil me chhipa ke bhi chup rahta hai,
Puri duniya ka dard bhi dedo tou aah tak nahi bharta hai,
Kabhi khush hokar muskura deta hai,
Tou kabhi taklifon ko dekhkar tut bhi jata hai.


Collaboration by Manish Shrivastva and Sonia Paruthi
Shrivastva MK
Written by
Shrivastva MK  23/M/INDIA
(23/M/INDIA)   
3.0k
     --- and Deovrat Sharma
Please log in to view and add comments on poems