Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Feb 2017
Koi ghilla na ab aur na koi shikayaat hogee
Ab jo mohobat tujsay hoge,wo bakamaal hoge...
Dekh liya hai jo  mizaaj hummnay teraa
Koi khata na ab aur na koi kammee hogeee

Humpay jo karam huva tha,aaj  samj aanay laga
Pehle  shayed tanha thay,aaj har taraf shor behnay laga
Huvi jo gustakhi ,andher khudkay jank naa sakhay
samma unki mohobat ka , Na janay khudpay kabsay chalnay laga....

shambal  raha tha jo dheery dheery,lo aaj bikharnay do zara
Kuch apni tasveer mai,rang merey b bharnay do zara
Koi inaam ** teray kabil ,rakhdu wo terey kadmou mai
Laikin tujsa naa kio aur na  tere jaisi koi hogee....
Ab jo Inayat tujpay hoge,wo lazawaal hogee..

khaaboon mai kho kr hum haqeeqat ko jaan naa sakhay
Sab tha pani he pani par hum kuch pebchaan naa sakhay
Zindagi ki mojoo pay sawaar hum bataktey rehai veeran-e-samandar mai
Muntazir mai sahil unka tha ,par hum kuch dekh naa sakhay..

Ilteja jo kabhi kee hee nhi,aaj jee bhar k faryaad karnay do zara
Dabay zakhmu ko andher he andher aaj samandar karnay do zara
Hai qabool ab sab tera,zindagi mai bas shamil hoga  
Rahai naa sansay mujmai sahee,Laikin  judaa naa Rumi say tu hogee

Ab jo ebadaat tujpay hogee,wo bemisaal hogee..

########penned by Aabid Rumi
AGAR KOI KAMI HOGI TOH BATA DENA MUJAY
MAI KHUD KO SAWAAR LOOGA BAS AAP K LIYE
Aabid Rumi
Written by
Aabid Rumi  jammu and kashmir
(jammu and kashmir)   
3.6k
 
Please log in to view and add comments on poems