Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Apr 2018
Palkein bhi ankhiyon se karti hain shikayat,
Aayi hai kaisi kayamat,

Kyu mujh par bin mausam barsaat karti **
Jaanti hu dard bhara hai seene mein par mujhko kyu bhigati **,

Sikhati hai bahut hua paani barsaana,
Dusro ki khushiyon mein apni manzil hai pana,

Dusro ka marham bankar
Hriday mein deep jalakar

Khushiyon ke geet gaana hai,
Apni jhopdi jali ** bhale kisi aur ki nahi ujadne dena hai,

Kasam hai khayi,
Haaregi jaroor burayi,

Aag lagi hai dil mein
Khade hue hain fir se

Log kehte hai paisa hai khushiyon ki chabi
Galat, bilkul galat wo sirf hai jaroori

Paisa khushiyan nahi khareed sakta
Dusro ko khushi dekar is masoom dil ko sukoon milta,

Pochh do kisi ki bheegi palkein
Milengi anekon duaein

Antaraatma bhi hogi paavan
Khush honge bhagwan

Dua hai dil se hamari
Bhale le lo hamari khushiyan saari

Par is dil se kisi ka dil na tute
Warna ruth jayenge khud se,

Hamare ruthe chehre bhi khile gulaab ban jate hai,
Jab kisi ke chehre par hamari wajah se muskan aate hai,

Ab Naa koi dard, Naa kisi gum ka saya hoga,
Hume khush dekh dard bhi akele me muskuraya hoga,

Dusaro ki muskan lana hi hamari khwaish hai,
Na kisi se koi bair, Na kisi se koi numaish hai,

Jo log kisi rote hue ko insaan ko hasate hai,
Wo log khuda ko bhi bahut hi bhate hai,

Khuda unlogo pr kripayen aapar kar dete hain,
Unki jholi sirf khushiyo se bhar dete hain,

Ek sadharan insaan bhagwan budha, Mahaveer tabhi kahlata hai,
Jab kisi ke berang sapno me sunhare rang bhar jata hai,

Hamari apni khushi bhale hi humse ruthi hai,
Ab tou dusro ki khushi hi hamari khushi hai,
Hamari khushi hai.....

Collaboration by Shrivastva MK and Sonia Paruthi
Shrivastva MK Mar 2018
Udd jayegi ek din chiraiya chhodhkar babul ka ghar,
Basane ek naya aashiyana sabhi ke aankho ko bhar,

Vidai ka hota hai ye kaisi bela,
Kyu hamesha jana padta chhod us kali ko hi akela,

Beegh jati hai mata-pita ki palkein vidai ke pal,
Jab aata us baag me chahchahane wali chidiya ki judai ke pal,

Bahut si yaadein  chhoti aankho me sajaye hue,
Ro rhi hai maa pari ko gale lagaye hue,

Papa ki pyari gudiya aaj sazkar sasural chali,
Tham ke hath humsafar ka ek nye dwar chali,

Jahan  pali badi wo pyari gudiya chali hai aaj us ghar ko chhod,
Karke suna ek aangan ko pita ki aankhon ko bhar,

Na jaane kyu beti ko janam se hi paraya btaya ,
Aakhir kisne ye  riwaz banaya ,

Nikalkar apne **** se ek pita apni jaan ,
Bahut bada dil hai ek pita ka jo kar dete hain kanyadaan ,

Waqt ka kaisa hai ye dastoor 
Na jaane kyu ek beti ko jaana hota hai dur ,

Chali hai aaj papa ki gudiya ,
Chhodhkar apne aangan ki nindiya, 

Yaadon ki jhadi dil mein basakar chali hai maa ki jaan ,
Chhod ke sabkuch apna Banane ek nayi pehchaan,

Babul ki laadli kab ** gayi badi,
Aayi hai dil ko chhune wali ghadi,

Jis  ghar me pali,us ghar ko alwida kaise kahegi,
Maa baba behan bhai bin wo gudiya kaise rahegi,

Vidhata ne ye kaisa niyam hai banaya,
Chhod ghar babul ka,ek naye ghar ko basaya,

Dekh tyad ek bitiya ki us khuda ki bhi *** aankhen bhar,
Udd jayegi ek din chirraiya chhodkar babul ka ghar,
Babul ka ghar.........

Composed by
Sonia Paruthi & Shrivastva MK
For Sonia Paruthi creations visit
Hellopoetry.com/SoniaParuthi
Khuda ke dar ke siwa agar karni ** bandagi,
Mera sir jhuke mehboob ke aage jo hai meri zindagi.

Ibadat karti hu is sachhi mohabbat ki,
Mere humsafar ke bin ye jaan hai aduri si.

Chand roz chamakar intrane laga,
Mere chand ki tasveer dekh khomosh ** gaya.

Ajeeb si betaabi hai tere bina,
Tujh bin har ek pal ye dil ne gina.

Ashq behne lagte hain yaara,
Ek pal ki duri bhi nahi hai gavara.

Log jaate hain mandir masjid khuda ko talaashne,
Apna khuda ko khoj liya humsafar mein humne.

Jaam tou unke liye hai Jinhe nasha nahi hota,
Ishq ke rang is qadar hum par hai chadha.

Aapki yaadon ke nashe mein har lamha doobe rehte,
Is dil ki har dadhkan mein sirf mere mahadev baithe.

Mera khuda hai mere humsafar,
Humesha saath hai aapke chahe kaise ** manzar.

Karwate jitni marzi badal le aye zindagi,
Haskar dard chupane ki karigiri mashoor hai meri.

Par jab aap saamne aate,
Hum sudh budh ko baith te.

Har baat tumse hi befikra hokar aapse keh dete,
Ek aap hi tou hai duniya mein jo humein samajhte.

Dil ke har jazbaat ko bin kahe hi padh lete,
Aapse ek baat hum kehna chahte.

Kabhi udaas na hona aap humsesha aapke hain saath,
Majbooti se pakda hai humne aapka haath.

Saamne na sahi kahin aas-pass hi hu
Rooh se judi hai hamari aabru.

Kuch na kar payenge meelon dur ke faasle,
Palkein band kar dekhiye aapke dil mein baithe.

Aasmaan se farishta utarkar,
Dil mein sama gaye aakar.

Mohabbat hai hamari ibadat,
Aapke aane se mili dharti par jannat.
BJ Sep 2020
Kabhi phir se, aajao
  "bas mere banke."
Sare taar cher jaao,
"soone man ke".
Paas betho, kuch to batao.
Usi ada se, muskurao.
Jo tum rutho, hum mana le.
Tere nakhre, bhi utha le.
Vo akad me, kya ada thi.
Teri narazgi b, maza thi.
Ji bhar k, dekhlu
Aja phir se, ban than ke.
Kabhi phir se, aajao
  "bas mere banke."
Sare taar cher jaao,
"soone man ke".
Tu bhi mna le, kabhi jo roothe.
Chore de tere, tewar ye jhoothe.
Koi dekhe tuje, mera jalna.
Uff ye bekhauf,tera chalna.
Bin ruke tere bole jana.
Mile jo ankhein, palkein jhukana.
Kitni batein, hai adhuri..
Nyi yadein, hai zaroori.
Chadhi collar, teri gira de.
Fold sleeves,unfold kara de.
Gala laga ke, band kardu.
Teri shirt k jo, khule button the.

Kabhi phir se, aajao
  "bas mere banke."
Sare taar cher jaao,
"soone man ke".
# BJ writes
# bj diaries
# incomplete

— The End —