Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aapke saath bitiya har pal hai khubsurat,
Aapka masoom sa chehra hai khuda ki murat.

Bahut yaad aa rhi hai aapki,
Talaash rahi aapko nazre meri.

Wo aapka muskurana jab kehte hum awaaz aa rahi,
Har lamha itna khubsurat hai in palkon mein yaadein sanjo rakhi.

Aapse shuru hota hai hamara har ek kadam,
Beintehaa mohaabat hai aapse saath rahenge har janam.

Bs ek dua hai us uparwale se,
Aap humesha salamat rahe.

Mohabbat hi nahi zindagi bhi ** meri,
Ye dadhakne aapko pukar rahi.

Khuda se maangi huyi ** mannat,
Aapke saath har pal hai jannat.

Meri duniya ** aap,
Har takleef lete ** bhaap.

Bin kahe sab samjh jaate,
In aankhon ko kaise padh lete?

Dil se jude jazbaat hain gehre,
Aapke aane se khil uthte chehre.

Meri taqdeer, meri jaan ** aap,
Ek geet ka khubsurat alaap.

Wohi pyar ka mandir ** aap, mera jaha,
Jise humne dil se humesha chaha.

Mahadev jaisa ** humsafar,
Chale jo saath har dagar.

Humesha se chaha tha humne,
Us talaash ko poora kar diya aapne.

Paavan pavitra rooh se jude hain is qadar hum,
Jaise saanso se dadhakta hai dil har dum.

Is dadhakte dil ki awaaz ** tum,
Aapse poore hote hain hum.

Pyaasi nigahon ka ** Qaraar,
Saji mehfilon ki bahaar.

Milne ki fariyaad mein dil ka intezaar,
Meri zindagi ka pehla aur aakhiri pyaar.

Shiddat se chahta hai ye dil aapko,
Saare jaha ki khushiyan aapke kadmo mein **.

Mehfooz rakhna mere humsafar ko mere khuda,
Is sacchi mohabbat ka karu sir jhuka kar mai har pal sajda.

Pavitra rishta hai hamara,
Is dil se juda hai dil tumhara.
Jab aap humare ** pass,

Har lamha hai bhut khaas.



Har ehsaas bhi sun leti hain ye dadhkane,

Aap zindagi ** humarai aapke siwa kuch nahi chahiye.



Aap ** tou sab kuch hai humare pass,

Dil se dil ke jude hain gehre ehsaas.



Paaya apne rabb ko aap mein,

Aapko dekar de diya sab kuch us rab ne.



Har dua mein shaamil ** aap,

Rooh ki awaaz ko meelon dur se bhi lete ** bhaap.



Is jahan mein aapke jaisa koi nahi,

Samjh jaate ** wo bhi jo baat ankahi.



Sabse khubsurat tarasha hai aapko us uparwale ne.

Aapke saamne tou wo chaand bhi feeka lage.



Aapke bina soona hai mera jahan jaanu,

Aapke siwa us khuda se mai aur kya mangu.



Zindagi ko zindagi mil gayi,

Chahiye aur kuch bhi nahi.



Is banjaare dil ko us dil ka mila thikana,

Jannat se bhi khubsurat hai aapka aana.



Sir jhuka kar karu mai aapke saamne sajda,

Ibadat ** jayegi qubool aap ** mere khuda.



Meri saadgi, meri khushi,

Zinda hai sirf aapse hi.



Baahon mein chupa le jaana,

Intezaar rhega aap bhi doli leke jald hi aana.



Dulhan bn aapki mil jayegi har khushi,

Aapke angana aaungi chali.



Mehandi wale haathon ki chudi hai aapse,

Saja dena maang humari apne naam ke kumkum se.



Basau mai aapke sang pyaara sa aashiyana,

Hai ek dil ka khubsurat sa sapna.



Meri saanse chalti hain un dadhkano se,

Mera sab kuch hai sirf aapke waaste.



Dil, jaan , rooh sirf aapke naam.

Har janam bs aapki hi banu bheja khuda ko paigaam.
Aye mere humsafar,
Kya aapko hai khabar.

Meri har khushi sirf aap **,
Dil ki dadhkan aur meri sada hai wo.

Meri pehli aur aakhiri mohaabat ** sirf aap,
Milon dur hain fir bhi har takleef lete bhaap.

Chaha hai sirf aapko chahat se badhkar,
Kabhi kahin nahi jayenge aapko chhodhkar.

Har janam sirf aapke hai naam,
Khuda ko bheja hai humne paigaam.

Hamari har saans sirf aapse hai shuru hoti,
Aapko takleef mein nahi dekh sakti.

Aapke har kadam ke neeche ** haath mere,
Zara si aanch tak na aane denge.

Aapse badhkar kisi ko itna na chaha humne,
Sabse anmol tohfa mila humein rabb se.

Khushnaseeb hain jo aapko paaya,
Hamara dil aapki dadhkano mein samaya.

Mere mahadev meri mohaabat ** tum,
Tumhe chhodhkar kha jayenge hum.

Kasam se jab se mile ** tum humko,
Zindagi ki har khushi mil gayi mujhko.

Kuch paane ki tamanna nahi hai meri,
Khushnaseeb hain jo jud gayi mujhse dadhkane teri.

Sachhi mohabbat sirf hai tumse,
Gehre hote hain rishtey jude jo dil se.

Aapke liye tou khuda se lad jayein hum,
Hamari jaan se pyaare ** tum.

Meri duaon mein itna ** asar,
Aapko lage na kabhi kisi ki nazar.

Mehfooz rakhe khuda aapko,
Aur kuch nahi chahiye mujhko.

Duniya ki khushiyan mile aapko saari,
Sacche dil se dua hai hamari.

Aye mere mahiya,
Wo drrrr humne nikal diya.

Aapse gujarish hai hamari,
Hum sirf aur sirf hain aapki.

Aapka saath janmon janmon tak nibhayenge,
Aapke khatir har imtehaan se lad jayenge.

Kisi ki himmat nahi jo juda kar ske,
Humesha sirf aapke hi rahenge.

Kasam se aapse behad pyaar hain karte,
Sabse jyada aapko khone se darte.

Par ab drrrr nahi lagta humein,
Khud se jyada bharosa aap par karte.

Zindagi chahe kitni karwatein badal le,
Aapki mahiya humesha aapki saath rahe.

Vaada hai hamara aapse,
Khuda se badhkar ** aap mere.

Aye mere saathiya,
Aapki hi hai mahiya.
Khubsurti se darr lagne laga
Dil se phoolon ko chaha...
Par dil toh dil tha...
Toot sa gaya...
Aur ye tara
Gehre samundar me doob gaya...
Najaane kitne bar...
Oski khubsurti ...
Aur mujhe darane lagi
Maan me jaise ki aag
Sulagti hai...
Doobne ki chahat bard si gayi...
Kyuki khubsurti  ne ne tanhai me sulaya...ab..
Mat socho kaisa hu mein...
Bolunga mast bindass zabardast hu mein..
Par kya wakai me khush hu mein?
Survived Dec 2019
Jab mohabbat dil se hui ** na
Toh dil tutne par
Zakhm aur Nafrat bahot gehre hoti hai
Megha Thakur Jun 2020
Kuch kam hi sahi,
Par is zindgi ne kuch diya to hai.

Kitne hi gehre the ghaw,
Par zindgi ne unhe siya to hai.

Beshak the wo dard bhare fasane,
Par is zindgi se humne kuch na kuch liya to hai.

Pal pal jod kar hi sahi,
Par is zindgi ko humne jiya to h.
-Megha Thakur

— The End —