Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
BJ Oct 2022
Ek chand gumsum sa hai
Door desh rehta  hai.

Jab b puch lo kyu udas hai
Koi baat nahi kehta hai
Kya kho gya hai uska jo door desh me dhoondta hai
Sans is zami me hai
To vha ku ghumta hai.
Muje fark yun padta hai
Ku Maine is chand ko haste hasate dekha hai.
Ladte jhagadte roothte manate dekha hai.
Us chand Ka taqiya b uski ankho ki nami mehsus karta hai.
Bhai jan to hai par aapi ammi ki kami mehsus karta hai.

Vo vha aasman ki talash me gya hai
Apne sapno k jahan ki talash me gya hai.

Ab use is shehar ki chamak b raas ni aati
Kabhi bethkar sochta hai k is shehar kash na aati.

Maa ki panv ki jameen ko jannat hai janta hai.
Jo samne se jhagdta tha phone pe ammi Ka Sab kha manta hai.

Us chand Ka dil b toota hai kisi se keh ni paya
Sab kuch saha Akele
Bas Roye bina reh na paya

Ab Dard kam hai Bas kasak baki hai
Khalish baqi  hai jakhm pe thoda namak Baqi hai.

Or Hume intezar hai k vo chand Jane ab Kab hasega

Kab utha k tasveer zindagi ki usme rang bharega

Chudi bindi mehndi libaz Sab shaunk thode kam ** gye hai
Ye Sab dekh k hairan hum ** gye hai

** skta hai ye likha b use na pasand aye
** skta hai nazarandaz kare ya nazarband kar jaye

Hume yakin hai vo Khud k  Masle hal kar legi
Sabr or dua dono mile h use aj ni to kal kar legi

Dhal jayega jald vo saya jo chand pe aj betha hai.
Ek chand gumsum sa hai
Door desh rehta  hai.
Ek chand gumsum sa hai
Door desh rehta  hai.
#bj
Jab aap humare ** pass,

Har lamha hai bhut khaas.



Har ehsaas bhi sun leti hain ye dadhkane,

Aap zindagi ** humarai aapke siwa kuch nahi chahiye.



Aap ** tou sab kuch hai humare pass,

Dil se dil ke jude hain gehre ehsaas.



Paaya apne rabb ko aap mein,

Aapko dekar de diya sab kuch us rab ne.



Har dua mein shaamil ** aap,

Rooh ki awaaz ko meelon dur se bhi lete ** bhaap.



Is jahan mein aapke jaisa koi nahi,

Samjh jaate ** wo bhi jo baat ankahi.



Sabse khubsurat tarasha hai aapko us uparwale ne.

Aapke saamne tou wo chaand bhi feeka lage.



Aapke bina soona hai mera jahan jaanu,

Aapke siwa us khuda se mai aur kya mangu.



Zindagi ko zindagi mil gayi,

Chahiye aur kuch bhi nahi.



Is banjaare dil ko us dil ka mila thikana,

Jannat se bhi khubsurat hai aapka aana.



Sir jhuka kar karu mai aapke saamne sajda,

Ibadat ** jayegi qubool aap ** mere khuda.



Meri saadgi, meri khushi,

Zinda hai sirf aapse hi.



Baahon mein chupa le jaana,

Intezaar rhega aap bhi doli leke jald hi aana.



Dulhan bn aapki mil jayegi har khushi,

Aapke angana aaungi chali.



Mehandi wale haathon ki chudi hai aapse,

Saja dena maang humari apne naam ke kumkum se.



Basau mai aapke sang pyaara sa aashiyana,

Hai ek dil ka khubsurat sa sapna.



Meri saanse chalti hain un dadhkano se,

Mera sab kuch hai sirf aapke waaste.



Dil, jaan , rooh sirf aapke naam.

Har janam bs aapki hi banu bheja khuda ko paigaam.
Bani rahu suhagan humesha,

Yhi hai dil ki pyaari si aasha.



Sajan mera mehfooz rahe,

Yhi dua mera dil kare.



Maathe ka sindoor,

Chehre pr pyaar ka noor.



Haathon ki mehandi,

Kalai ki chudi.



Gale ka mangalsutra,

Humara rakshautra.



Jodi humari humaesha salamat rahe,

Har janam mein hum par haqq sirf unka rahe.

— The End —