Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mar 2018
Jo hamare aankhon me bade bade sapne sazote hain,
Jo hamare sanskaro me pyar ke bij bote hain,
JoΒ Β humare sapno ke liye din-raat ek kar dete hain,
Aise Hamare Maa-baap hote hain,

Jo hamari khushi ke liye khud rote hain,
Hamari acchi nind ke liye wo nahi sote hain,
Naa karo kabhi bhi Maa-Baap ka apmaan,
Kyuki ye bhagwaan ka roop hote hain,

Mata-Pita me shaktiya anek hote hain,
Dur rahkar bhi ek-dusre se sda ek hote hain,
Putra kuptra ** jaatey hai pr,
Maa-Baap hamesha nek hote hain,

Maa-Baap ke andar ishwariye shakti vidyaman hain,
Enke andar samst shristi ka gyan hai,
Hum tou kuchh bhi nahi the es naye jahan me,
Enhi se hamara naam enhi se hamara pahchaan hain....
Dedicated to all Parents who lost their happiness for their child....
Shrivastva MK
Written by
Shrivastva MK  23/M/INDIA
(23/M/INDIA)   
1.7k
     --- and Shrivastva MK
Please log in to view and add comments on poems