Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aabid Rumi Apr 2017
Dil mera hadh main nhi
Tumpay he toh behaknay laga
Ulja saa tha,issy say pehle
Tumsay millkay toh sawaarnay laga
Hosh say zaida, khaboon mai rehnay laga
Har lamha tuj he pay, guzaarnay laga

Maan bhi lo  - pehchaan  lo  -iss dil ko toh ab jaan lo
Tere he hissa  hoon mai - batka hoon koi kinara toh do

Le chali oo naazni, dil mera kahaan le chali
khumar yeh nhi  koi , bas mai  nhi hai dewaangi

shammo shubha tujpay he luttey rahai
dil ki arizoo nigahoon say kehtey rahai
rahoon mai sang tere hum chalnay laga
bewaja yun .khamakha muskuranay laga

sansu mai ab,tu rehnay lage
zindagi ab tummay he zingdagi kehnay lage

ikraar hai -izhaar hai -mujpay tere chahat sawaar hai
utarta nhi -sambhalta nhi -mujpay tera nasha lazawaal hai

le chali oo bereham, karaar mera kahaan le chali
bebasi yeh koi nhi,bas main hi  hai awaargi
                    
                    written by: Aabid Rumi
keep writting until u write something extraordinary
Kisi nazar mein kashish aisi, ke dil thehar jaye  
Chahne wale ka har zakhm, khud sanwar jaye  

Yeh jo lams hai tera, yeh jadoo ka raaz sa  
Dil ki veeran galiyon mein roshni bhar jaye  

Teri baaton ka asar dil pe utarta aisa  
Har khayal, har dua tujh pe hi thehar jaye  

Yeh mohabbat hai ya koi khwab ka dhoka  
Jo bhi mile, wohi khwahish ban ke bikhar jaye  

Meri har saans mein, tere wujood ka ehsaas  
Mere dil ka har dukh, tere qadam par mar jaye  

Kisi nazar mein kashish aisi, ke sab bhool jayein  
Dil ke har goshe mein tu hi tu thehar jaye

— The End —