Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sk Abdul Aziz Dec 2015
Woh bhi kya din thay
Kya thi woh raatay
Hoti thi kitni baatay
Hoti thi kitni mulaqaatay
Na kisi cheez ki parwa thi
Na tha koi darr
Rangeen hoti thi shaamay
Raatoy ko sota tha tumharay kandhay pay rakhkar sar
Ab na woh waqt raha
Na raha ** mahol
Ab kissay guftagu karoon
Ay meri tanhai..tu hi bol
(Urdu and Hindi)

English translation

What days those were
What nights were those
There used to be so many conversations
There used to be so many meetings
We didn't care about nothing
Neither was there any fear
The evenings used to be colourful
In the nights i used to sleep resting my head on your shoulders
Today that time doesn't exist
Neither does that atmosphere
Now with whom do i have a conversation
Oh my loneliness...you only tell
M JAYAJIT Feb 2021
Kal
Kitna accha hota agar jindagi
            yuhi guzar jati
Kitna accha hota agar jindagi
            yuhi guzar jati
kitna accha hota agar Samay
           yuhi beette jata
na kal ki fikar nahi aaj ka gam
     na piche chod aayi ateet
       na aane wala pal sab
samay ke is chakrvuyh mein
yuhi dilse mit jata aur hum
in sab fikr ko yuhi dhua mein udaate
                    chale jate ...
     saari  dhundli  yadon ko
              yuhi alvida bolke
sookon ke saath apne beete hue  
            kalke sahare aapna
        aanewale kal ko jee lete
      kitna accha hota agar hum
kisi dusre janam ki parwa na karte.  
                             hue
       ishi janam mein ek ** jate ||
Hindi poetries

— The End —