Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Maa
Jab aankh khuli to amma ki
godi ka ek sahara tha
uska nanha sa anchal mujhko
bhumandal se v pyara tha.....
uske chehre ki jhalak dekh
chehra phulo sa khilta tha
uske stan ki ek bund se
mujhko jeevan milta tha
haatho se baalo ko noocha
pairo se khoob prahar kia
phir v us maa ne puchkara
humko jee bhar ke pyar kia

Mai uska raja beta tha
wo ankho ka tara kahti thi
mai banu budhape me uska
bas ek sahara kahti thi
ungli ko pakad chalaya tha
padhne vidlaya bheja tha
meri naadani ko v neej
antar me sadasaheja tha

Mere saare prashno ka wo
fauran jawab ban jaati thi
meri raho ke kaante chun
wo khud gulaab ban jaati thi
mai bada hua to college se
ek rog pyar ka le aaya
jis dil me maa ki murat thi
wo ramkali ko de aaya

shaadi ki pati se papa bana
apne rishto me jhul gya
ab karwa chauth maanta hu
maa ki mamta ko bhul gya
hum bhul gye uski maamta
mere jeevan ki thati thi
hum bhul gye apana jeevan
wo amrit wali chaati thi

Hum bhul gye wo khud bhukhi
rah karke hume khilati thi
humko sukha bistar dekar
khud geele me soo jaati thi
hum bhul gye usne hi
hotho ko bhasha sikhlayi thi
meri neendo ke lie raat bhar
uss maa ne lori gaayi thi

hum bhul gye har galti par
usne danta samjhaya tha
bach jau buri najar se
kala teeka sada lagaya tha
hum bade hue to mamta wale
saare bandhan tod aaye
bangle me kutte paal laye
maa ko vridhaashram chod aaye
apano sapno ka mahal girakar
kankar -kankar been laye
khudgargi me uske suhag ke
aabhushan tak cheen laye

Hum maa ko ghar ke batware ki
abhilasha tak le aaye
usko paawan mandir se
gaali ki bhasha tak le aaye

to be continued ........(next part may be in next week)
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Tujhe chhoone par hai lagta
Tu jalti jwala re!
Tujhe niharne par lagta
Tu chaand ka tukda re!
Aisa Kya jadoo Kiya
Aisa Kya jadoo Kiya
Ore Priya re!
Tere sang Tere sang ishq hua re!
Bana Dene jaisa lagti ** tum
Ek chitra!
Are munh tumhara ek
Paan ka patta
Bana Dee gayi lagti ** tum
Ek moorti!
Sach jaisi
Konark ki kala kirti
Tujhe padhne se lagti hai tu
Sach mein  ek kahani re
Tujhe gaane see lagta
Tu ek geet re!
Aisa Kya jadoo Kiya tune
Aisa Kya jadoo Kiya toone
Ore Priya re!
**** bhar Teri
Rajnigandha ki khushboo
Teri chaal mein
Raj hansini ka chhand!
Barasne jaisa pyar tumhara
Madhu ki varsha!
Sabhi or hoti hai
Bas teri hi charcha
Tujhe tolne par
Tu lagti
Ek phool re!
Tujhe dhaalne par lagti
Tu kuchh rang re!
Aisa Kya jadoo Kiya
Aisa Kya jadoo Kiya toone
Ore Priya re!

Tere sang Tere sang ishq hua re!
Pranay Patel Oct 2020
Kabhi Kabhi to main apne aap per Has padta hu
Itna gyan prapt kar liya fir bhi
pathar ki murti samne hath jod kar khada hu
Kabhi Kabhi to main apne aap per has padta hu.

Sau chuhe to humne bhi mare,
namak dalkar bhi humne khae par
jab haj per pahunche tab pata Chala
ki vah sab to viarth tha.

Dharm aur Bhakt ki kya yah dosti badi aanokhi hai
buddhu pahla wala banata hai,
dusre wala samjhata hai ki buddhu kaise banaa hai.
Tu jise maine dekha nahin bus khali teri batay hi suni hay
To ab tu hi bata k tuj par kesay visvas Kar Lu
par tu bataee ga bhi kesay

Kabhi Kabhi to main yah sochta hu
ki agar tu na hota to kya hota ?
Agar tu hay us Ka bhram na hota to yah pakshpath na hota,
tu alag mein alag aisa mahsus na hota
insan insan ke barabar hota.





Maine suna hai ki har Kan mein hai tu
To tere liye ye ghar banane ki itni jid kyon?
  Tu kya tu nahin chahta use jagah per ek bhavya vidyalay bane?

Kuch dost to mere aise bhi hai ki jab ab dharm
per vivad hota hai tu yah sunana nahin bhulate
ki unhone yah dharm granth pada hai
aur sathi sath yah bhi nahin bolate
ke tu bhi yah dharm granth pad.
Agar dharm granth padhne ke baad ahankar aata **
to vah granth na pado to behtar hai.

Vishvaas ki kai paribhashaye hai Jaise
Shaniwar ko chana, tel aur chappal
Na khaya, lagaya aur kharida jata hai.
Or jab poochho k kyon?
To uttar aisa milta hai jis per vishvaas nahin hota.

Vishvaas karo To prashn nahin,
aur prashn Karo to tumko vishvaas nahin,
yah kaisi andhvishwasi mayajaal hai
jismein ek ke liye suraj nila hi, To dusre ke liye hara hi
Aur teesra aankhen kholne ko taiyar nahin
kyunki use ine donon per VISHVAAS NAHIN.

— The End —