Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Hira malik Nov 2018
Main jiss shahar ka aadi hon
Uss shahar kay baasi ajnabi nigahon say dekhtay hain mjhay
In chahron pay charhay rung
Mjhay rung nhn bay rung lagtay hain
Iss shahar kay darr-o-dewaron say abhi mera rishta nhn bana
Aur raastay yahan kay mujh say khauf khatay hain!

Maij jiss shahar ka aadi hon,
Uss kay baasi apnay hi rung main holi khailay jatay hain
Aur main safaid aur siah kay darmian hi uljha baitja hon.
Sooraj nikalta hai zaroor, laikan sitaray raat kay mjhay daratay hain,
Aur yay onchi onchi amaraat, kiss dayo ki maanind lagti hain mjhay!

Main phir bhe iss shahar ka aadi hon
Main phir bhe iss shahar ka aadi hon!!
Hira malik Nov 2018
Ehsaas kay dareechay main
Baynaam sa aik shahar basta hai
Har roz wahan log uth-tay hain
Qaroobar kay hangaamon main
Koe mun dho kar nikalta hai
Koe bay- awaz surr pay sarr dhunta hai
har roz wahan aik kahani hai
Jo tmhain mjhay sunani hai
Har saa-at wahan aik tamasha hai
Jo rukta aur shaur machata hai
Raat ki taareeki main
Jab sab thak kar laut aatay hain
Apnay **** ki thakawat ko
Wo  khawaboon kay ka-andhay utartay hain
Aur yunhi so jatay hain.....
Ehsaas kay dareechay main
Jo aik bay- naam sa shahar basta hai
Uss basti ki sab hastion main
Chupa bacha din bhar hansta hai
Aur shab dhalay, sarhanay  mun day kar rota rahta hai.....
Hira malik Feb 2019
yay jo haal hoa sare- shaam hi,
siyah dasht -o- garibaan hoa,
Mjhay hasil naan tha jo kamal bhe,
Wo bay-sabab shikasta -o -jaan hoa..
aay rahbar -e-zindagi, yay kaisi taveel tar raat hai,
Naan amaan mili, naan hi koe imtihaan hoa!!
Wo jo pamaal kar gay meray khwab ko,
us hashar-e- jaan ka kia samaan hoa;
Yunheen gard main liptay bujhay khayal,
Shahr say jaanay ka yun ihtimaam hoa!
Yay rang nhn saraab hain,yay ehsaas say door paar hain,
Meray bayrabt say tootay pyaar main,Jo hoa tou bass yunheen hoa!!

— The End —