Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Bs ek tamanna hai agar janam mile fir se,
Meri sacchi mohabat mujhe har janam mein mile.

Zindagi ka har pal khubsurat hai jab aap saath **,
ye dil shiddat se chahta hai sirf aapko.

Aap dharti kya jahan bhi honge,
Aapki khusbu se hum aapko pehchaan lenge.

Aankh band kar dadhkano se pehchaan lenge,
Din maheene saal guzarte jayenge.

Pyar mein aapke har pal har lamha badhte jayenge,
Jab jab janam lenge hum sirf aur sirf aapke rahenge.

Ye dil sirf us dadhkan ki hai pehchaan,
Aapki rooh mein basti hai hamari jaan.

Har dua mein us rabb se hum aapko maangte,
Is dil mein sirf aap hi ** rehte.

Dil bhi bekaraar hain aapse milne ko,
Khushnaseeb hain hum jo aap humein mile **.

Saare jahan ki hasi aapke labe par saja de khuda,
Aapse  kabhi nahi hongey hum juda.

Har saans par hamari hai aapka naam,
Aapke bin zindagi hai gumnaam.

Chand ki chandani madhamm padh sakti,
Phulon ki khusbu feeki ** jaati.

Hamari sacchi mohabbat ki khusbu is qadar faile,
Ki dharti ke yug bhi kam padh jaaye.

Karte hain kkhuda se hum gujarish,
Aapki mohabbat ke siwa koi bandagi ki na ** baarish.

Chahe hazaaron dafa waqt le le hamare imtehaan,
Nahi chhodenge hum aapka saath meri jaan.

Kuch ehsaason ke saaye dil ko chhu jaate,
Zindagi mein phul khil jaate jha aap kadam rakhte.

Gulaab tou kaaton mein bhi khila hain karte,
Kabhi kabhi apne bhi paraya kar dete.

Shukriya hai aapka jab hazaaron log khilaaf hote hum khuda kehte,
Tab sirf aap hi ** jo hamara haath thame hamare saath khade rehte.

Khubsurat hai har subah aur har shaam,
Achaa lagta hai hamara naam jab judta aapka naam.

Aap saath hain tabhi khush hai saara chaman,
Aapse mohabbat karne ko le le hum hazaro janam.

Aap jaise dost milte hain taqdeer walon ko,
Mile yhi taqdeer aur is dil mein sirf aap rho.

Aapki rag rag se waakiff hain hum,
Saath hain humesha mere humdum.

Bs ek tamanna hai is dil mein,
Har janam mein aap hi hamare mahadev bane
29 August ko hui thi pehli mulakaat,
Taraste they sunne ko wo unki aahat.

5 september ko hui unki dosti,
Ek ladki jo shaadi se bhut darti.

Intezaar mein baithe rehte they wo,
Baar baar niharte shayad koi paigaam aaya **.

Hokar mayoos fir laut jaate,
Maheeno baad messages ke reply aate.

Bhut intezaar kara hai mahadev ne,
Milne ko apni shivani se.

Izhaar tou bhut baar kiya tha unhone,
Har baar mazak mein taal diya pagli ne.

Wo bhi bhut pyaar karti thi,
Par haa mein jawab dene se darti.

9 maheene tak intezaar karaya,
Fir ek din bn gyi unka humsaaya.

Tham liya ek duje ka haath,
Dene ke liye janam janam ka saath.

31 may zindagi ka sabse khaas din,
Ek pal bhi guzar nahi sakte bin.

Chand ko pyaari hai chandni jaise,
Dil se dil jude hain aise.

Chahe meelon dur hain wo,
Mehsoos kar skte hain ehsaaso ko.

Ek aisi pavitra paak rooh hai unki,
Khuda smjh ibadat kr sakti.
Siddharth Ray Oct 2018
Bandh kamaroon main hi sahi,
Baatein kuch aiesi naseeb hoon,
Pitara jo khul gaya toh,
Chuppi bhi bol uthegi.

Pal, maheene aur din,
Sabka hisaab hay ismey,
Bol main likhun, tum gao,
Naadani bhi bol uthegi.
#hindipoetry

— The End —