Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sahil Sharma Aug 2018
Aaj achanak hi kyu azadi k din hume apne mulk ki itni yaad aayi
Jb kurbaan hue jawan sarhad pe,tb kyu nhi aankho me nami aayi

Zara dil se b izzat kr lo mere yaaro, kyuki ye zameen h hum sabki
Kuch nahi le jao ge sath apne, milni h ess me hi raakh hum sabki

Koi loot raha h gareeb ki jaeb, koi kr raha h bezuba awaam se faraeb
Umeed h kashmir me aman hoga,toh aur b meethe hoge waha k saeb

Jo saha h dard in kisaano ne, umeed h unka ye dard tumhe b mehsoos **
Daer raat in anderi galliyo se guzrti har beti har maa ki raah mehfooz **

Mazboot kr lo apne rishto ko,inpe h nigah kbhi mazhab ki kbhi siyasat ki
Na rang se pehchan ** na hi adoore ang se,ek si taraki ** har ek riyasat ki

Rishwat gareebi khudgarzi aur na jaane kitne h es mulk ko lge marz
Kbhi fursat hui toh janne ki koshish krna kitne h es maa k tumpe karz

Har bache ko ilm ** es janoon ka,taki ye kamyaabi k kadam ruk na paye
Bss ik ehsaan krna khud pe,ki teri kisi harqat se kehi iska ser juk na jaye

Dhua bss yehi h ki aane wali koi b nasal kabhi na ruksat ** es fitoor se
Chand taaro pe chle b gye agr phir b krte rehna sada salam waha door se
venkatesh anand Apr 2019
khwaab jo dekhe the kabhi sang uske',
maine aaj bhi sanjoye rkhe hain',
chehre pe muskaan lie uski khudgarzi ke qisse',
maine aaj bhi chupaaye rkhe hain',

— The End —