Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Payal ki chaan-chaan se chaanke
khanke ban kangan
oos ki bunde hai hum ladki
man hai ek darpan,

Humse hai ghar baar tumhara
humse hai aangan
oos ki bunde hai hum ladki
maan hai ek darpan,

Ladke hai wo prem ki jisme
hum tasweer sajaate
Haatho ki khalirekhao par
hum kishmat ban jaate
Humshe mahkata hai bachpan
aur sajta hai yowwan
oos ki bunde hai hum................
.........................................darp­an

Kabhi geet hai  kabhi gajal hai
aur kabhi angaar
Hum khubi se nibha rahe hai
apne sab kirdaar,
Chand sitare choo aaye hum
tood ke har bandhan
oos ki bunde..........
....................dhadkan

Hum hi wo maa hai jisne
iss dunia ko hai banaya
Patni Bhabhi Bahna Beti
ke rishto se hai sajaaya

Mat raundoo hum kalio ko
Mit jaayega Uppwan
oos ki bunde hai hum ladki
maan hai ek darpan....

(DEDICATED  TO EVERY GIRL)
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Simran pawar Aug 2020
Tumahri khubi bhi kitni alag h na ,
Jab bhi tumare baare m likhne jati hu,
To ye alfaz kam padh jate h.
Aur jab tumare saath hoti hu ,
To ye waqt kam padh jata h..

— The End —