Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ain Sep 2020
Kadam yaadon ke ghere mein
Mera jab bhi kabhi padta
Woh aalam yaad aata tha
Woh aangan yaad aata tha

Woh dopahar mein gulmohar
Pe chadna yaad aata tha
Gulaabon, phal wa phoolon ka
Mehekna yaad aata tha...

Subah koyal ki ku ku ka
Woh shor o gul tha yaad aata
Agasi par tanhayi ka
Woh kona yaad aata tha

Har ek pal ki kahani thi
Woh dastaanon ka har lamha
Us chaukhat ka har ek paththar
Har zarra yaad aata tha

Falak par hi to hota hai
Tasawwur e irum aksar
Sama ki sar Zameen par tha
Jo "Firdaus" yaad aata tha

Padosi ka sulook e khair
Woh rishta yaad aata tha
Padosi ka hi phir hum par
Nishaana yaad aata tha

Woh kaalapan woh sannata
Woh buu e Raakh ka uthna
Mere armanon ke ghar ka
Jalana yaad aata tha

'Ain' ashq ab behta hai to kya
Mita to yeh nahi sakta
Khalish e qalb ka woh pal
Jo aksar yaad aata tha....
BJ Oct 2022
Ek chand gumsum sa hai
Door desh rehta  hai.

Jab b puch lo kyu udas hai
Koi baat nahi kehta hai
Kya kho gya hai uska jo door desh me dhoondta hai
Sans is zami me hai
To vha ku ghumta hai.
Muje fark yun padta hai
Ku Maine is chand ko haste hasate dekha hai.
Ladte jhagadte roothte manate dekha hai.
Us chand Ka taqiya b uski ankho ki nami mehsus karta hai.
Bhai jan to hai par aapi ammi ki kami mehsus karta hai.

Vo vha aasman ki talash me gya hai
Apne sapno k jahan ki talash me gya hai.

Ab use is shehar ki chamak b raas ni aati
Kabhi bethkar sochta hai k is shehar kash na aati.

Maa ki panv ki jameen ko jannat hai janta hai.
Jo samne se jhagdta tha phone pe ammi Ka Sab kha manta hai.

Us chand Ka dil b toota hai kisi se keh ni paya
Sab kuch saha Akele
Bas Roye bina reh na paya

Ab Dard kam hai Bas kasak baki hai
Khalish baqi  hai jakhm pe thoda namak Baqi hai.

Or Hume intezar hai k vo chand Jane ab Kab hasega

Kab utha k tasveer zindagi ki usme rang bharega

Chudi bindi mehndi libaz Sab shaunk thode kam ** gye hai
Ye Sab dekh k hairan hum ** gye hai

** skta hai ye likha b use na pasand aye
** skta hai nazarandaz kare ya nazarband kar jaye

Hume yakin hai vo Khud k  Masle hal kar legi
Sabr or dua dono mile h use aj ni to kal kar legi

Dhal jayega jald vo saya jo chand pe aj betha hai.
Ek chand gumsum sa hai
Door desh rehta  hai.
Ek chand gumsum sa hai
Door desh rehta  hai.
#bj
Ain Sep 2020
Saraab....

Tu ek khayaal se zyada kuch aur tha bhi nahi...
Bas ek khwaab se zyada tu kuch hua bhi nahi...
Woh ek zakhm jo dil ko kabhi mila hi nahi...
Tu hai woh dard jo mehsus ** saka hi nahi...

Woh lafz the mehez alfaaz sach hue hi nahi....
Na haq vo baaton ke parde kabhi khule hi nahi...
Humare ijz ka un par asar hua hi nahi...
Ki inkisari mein hum ne bhi kuch kaha hi nahi....

Teri ranjish kabhi dil ko hui ata hi nahi...
Mera daaman teri khalish se bhar saka hi nahi...
Woh faasla kabhi jo paar kar sake hi nahi...
Woh raasta ke jin pe paon chal sake hi nahi...

Tu ek yaad hai jise yaad rakh sake hi nahi...
Tu ek saraab hai jise haath dhar sake hi nahi...
Aazmana kisi ko kab yeh achchi aadat hai...
Aazmaish se hum kabhi juda hue hi nahi...

Ke intekhaab jo tera maine kiya tha kabhi...
Munasebat ke daayre se vo juda hi nahi...
Woh ek sada jo kabhi pesh kar saka hi nahi...
Vo ilteja kabhi bhi tu jo sun saka hi nahi...

Meri aankhon ko deed tera ** saka hi nahi...
Teri khushboo se **** mera tar hua hi nahi...
Woh jo qurbat sa kuch mehsus ** raha tha mujhe...
Wasl ka lutf woh mujhe kabhi mila hi nahi...

Kyun jo tu khud parast nahi to dekhta hi nahi...
Kyun nigaah tu meri taraf phira saka hi nahi...
Woh jo sehra tumhe yun sabz nazar aata raha...
Saraab tha kabhi waha yahan hua hi nahi...

Kaha tha us ne ke mujh ko bas ek nida dena...
Ae dil tu maan le tha tu ne yeh suna hi nahi...
Teri nigaah mein umeed ek basi thi jo “Ain”...
Nazar ka dhoka tha ke kuch kabhi basa hi nahi....

— The End —