Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Rohini Raj Jun 2015
Kis pe kru bharosa ,
Na khud pe yakeen hai .
Manjil na mil paya ,
Or raahi bichar gaye
Is dagar pe chal ke ,
Aayi thi itne dur
Badi muskkat se
Par ki thi ye dastur
Har kar ruk gayi ,
Us manjil par,
Jhaha kabhi ham roj chala krate the ,
Aaj ye jindgi wahi ruki
Jisse ham dur rha krte the ....
Jiss pe karu brosa na khud pe yakin hai....

     Rohini
khamoshiyan  ki ghata
Hira malik Feb 2019
Nhn aayna- e -saaz main go-mago yay kaifiat
Jaisay burg- o -bahar main ** koe chingari
Jiss kay sholon main bujhay yay dil rakh ki soorat
Jisss kay chahray main jalay angari.....

Main wo zaat hon jiss ka koe shahar nhn
Jo jahan chalay wahan aag lagay
Jiss kay bayan main naan zahar naan amar
Jiss kay wajood main dah-kain sab raaz chupay.....

Nhn asbaab koe, nhn imkaan koe
Mere zaat kay hisaab main nhn jaan koe
Phir bhe toofan-e- azam liay chalti hon
Kay meray dard ki intiha ki nhn intiha koe.......
its in roman Urdu language. Urdu is Pakistan language, and its derived from sansikrat!
Hira malik Nov 2018
Main jiss shahar ka aadi hon
Uss shahar kay baasi ajnabi nigahon say dekhtay hain mjhay
In chahron pay charhay rung
Mjhay rung nhn bay rung lagtay hain
Iss shahar kay darr-o-dewaron say abhi mera rishta nhn bana
Aur raastay yahan kay mujh say khauf khatay hain!

Maij jiss shahar ka aadi hon,
Uss kay baasi apnay hi rung main holi khailay jatay hain
Aur main safaid aur siah kay darmian hi uljha baitja hon.
Sooraj nikalta hai zaroor, laikan sitaray raat kay mjhay daratay hain,
Aur yay onchi onchi amaraat, kiss dayo ki maanind lagti hain mjhay!

Main phir bhe iss shahar ka aadi hon
Main phir bhe iss shahar ka aadi hon!!
Hira malik Jan 2018
Guzar gay kaey din , kiay gham-e-jaanaan main hijrat
Aik wohi tou umeed thee apni, ikk wohi thee muhabbat!!

Tmhain maaloom hai meray ghar kay darwazay muqaffal hain paray
Jahan ikk arsay hawa chalti thee, jahan bastii thee chahat!!

Ab tou yun kharay hain shahrahon pay, kay faqeer ka sa gumaan hota hai
Jiss rastay say khusboo aati thee, tere gul-e-rafaqat!!

Aur phir yun hoa kay raat ki parchai gahri say gahri hoti chali ***
Aur hum dobtay chalay gay, madham saanson say taraf, tere rughbat!!
Hira malik Dec 2019
Angaray, Shamma-n kay aagay
Yun dikhtay hain,
Jaisay shola bujh sa jayy kissi udaas shaam main
Aur kuch nahin
Yay ehsaas ki maut hai
Jiss Kay Kafan main paiwasta  chaid
Najanay kuen sakoot orhay baithay hain.....

Insaan ka wajood itna aarzi kuen hai
Kay jab roay tou bulbulay ki manind phatt jay
Aur jab ** saakan, tou kainaat naan chalay.....
Kia karna aisay but-t ka
Jo khud ko jaga naan sakay
Har simt hai bass hoo
Haq hoo
Ya hoo ka alam
Har lafz main bass hoo....

Anbaar hai kay uthaya nahin jata
Har baar sulaya nahin jata
Bass chain aur roh ki ikk jang hai
Aur uss jung ka haara ikk thakka insaan......
Its in Urdu language. I am hating this forum for not expressing urdu in its form but in roman english
Hira malik Mar 2018
Subah-e-tamaam kay sozo gar
Khoon main nahay apnay lakht-e- jiggar
Aay soz-e-lab-e- baam, kia naghma gungunao gay,
Har roz ik nae tamanna jagao gay?
Unn hasrat bharay dilon main kia kia saaz bajao gay?
Aay saq-e- dil, yun hasraton main jeena bhe kia jeena
Jiss dil main naan koe hasrat , naan koe tamanna!!!
( its urdu language, that is a mother language in Pakistan)
Hira malik Jun 2020
muhabbat ka faham jana tou dil ro para
yay kaisa ilm hai kay jiss raah gya wahan shor para

yay dekho kon hai saaqi jo chala aa raha hai khaali hath
naan mayy hai naan masti, naan may kadday ka shoor para

zamana saaz tha, par sakoot main raha umar bhar
magar roze hashar yay kuen aur kaisa shaur para

aur phir jab dill tota, aur ishq ki baazi haar gya
wo shaksh murjha gya aur hanstay hanstay phir ro para

— The End —